Kya Jashn-e-Milad un Nabi manana jaiz hai (sallallaahu alaihi wasallam) ? ? ?

Ham Nayi Website Par Shift Ho Gaye Hai. Is Article Ko Padhne Ke Liye Ye Link Chq Kare: https://iqrakitab.com/2017/12/jashn-e-milad-manana-ek-nazarya.html

Hamara Naya Website: Iqrakitab.com

Posted on January 5, 2014, in Sunnah and Bidah and tagged , , , . Bookmark the permalink. 42 Comments.

  1. According to Barelvis the sight of Shaykh Abdul Qadir Jeelani rahimahullah is fixed firmly on Lauh e mahfooz.

    And according to Shaykh abdul Qadir jelaani Prophet صلي الله عليه و سلم was born on 10th of Muharram [Refer Ghunyat at Talibeen 2/55]
    Now either his sight is fixed on lauh e mahfooz and barelvis are celebrating Meelad on wrong date or they are lying on Shaykh Abdul Qadir jelaani.. I leave the choice to barelvis.

    Like

    • Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatuhu
      Bhai hamare ek tabligi jamat ke bhai ka sawal hai ke
      Huzur (saws) ne milad nahi manaye
      Sahaba ne milad nahi manaye
      Taba in ne milad nahi manaye
      Tabe taba’in ne molad nahi manaye
      Aur 4 roa Imam ne bhi Milad nahi manaye
      Iski kya daleel hai
      Woa ye khe rahe hai ke salafi bhaioa iski daleel dijiye koan si kitab mai lika hai hadees no kya hai
      Agar app koa iska ilm hai toa zarrror bataye

      Like

      • wa alaykum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Ye waisa hi sawal hai jaise ek shaks kah raha ho ki Huzur ne Mobile phone nahi use kiya ye kaha likha hai ? Kis Hadees me likha hai? Daleel us chiz ki hoti hai jo Huzur ne kiya ya Huzur ne farmaya na ki uski jo Huzur ne nahi kiya.

        Like

  2. Janab ahmad yaar khan naeemi barelvi naqal kartay hai

    لم يفعله احد من القران الثلاثة انما حدث بعد

    (Milaad shareef) teenow zamanow mai kissi nay naa kiya, baad mai aijaad huwa.

    (JAA UL HAQ 1/236)

    Janab ghulam rasool saeedi sahab yuw aitraaf haqeeqat kartay hai

    Salaf us saliheen yaani sahaba aur tabiyeen nay mehfil milaad nahih mun’aqid kiyeh

    (SHARAH SAHEEH MUSLIM 3/189)

    in donow ibaratow se wazhay huwa k nabi s.a.w,sahaba, tabiyee nay milaad nahih manayee agar koi biddati quran wa hadees se yeh sabit karnay ki koshish ki nabi s.a.w,sahaba aur tabiyee nay milaad manayee to woh ahmad raza khan k fatway k khilaf hai.

    ALLAMAH AINI AL HANAFI BIDDAT KI TAREEF YUW KARTAY HAI

    وهي ما لم يكن له أصل في الكتاب والسنة وقيل إظهار شيء لم يكن في عهد رسول الله – صلى الله عليه وسلم – ولا في زمن الصحابة رضي الله تعالى عنهم

    Biddat deen mai har us nayeh kaam ko kehtay hai jiski asal kitab wa sunnat mai naa hoo, ek qawl yeh bhi hai k aisi chees ka izhaar joh nabi s.a.w aur sahaba r.a k zamanay mai naa hoo.

    ( عمدة القاري شرح صحيح البخاري 25/38)

    Like

  3. Agar eid milaad un nabi ka jashn mananaa bhalai ka kaam tha to aap s.a.w aur sahaba ne ise kyu chipaya?
    Ma’azallah.

    Rasool s.a.w ne wazeh paighaam phuncha diya, aur jannat tak phunchane wala koi rasta nahi chodaa,
    Aur jahannum se duur kar dene wale raste ko bhi ummat par wazeh kardiya,
    Jaisa ke Abdulllah bin Umar r.z ki riwayat kardah sahih hadees se sabit hai ke rasool s.a.w ne farmaya: allah ne jis nabi ko bhi bheja is par wajib tha ke wo apni ummat ki har is bhalai ki janib rehnumai kare jaise wo in ke liye janta tha,
    Aur inhe har burai se daraee jaise wo inke liye janta tha.

    Ise Imam Muslim ne apni sahih me riwayat kia hai.
    Sahih Muslim, hadith-1844.

    Like

  4. Kitab ka naam:- Abdur-rl-Munazzala
    Writer:- Maulana Abdul-Haq (Dewband ke Aalim)
    Likhte hai:-1 kuch sahaba-e-keraam(r.a) ek jagah baithe the, Aap (s.a.w) tashreef laye aur kaha k tum log kya kr rahe ho, toh sahaba-e-keraam(r.a) ne kaha k aapke wiladat ka zikr kar rahe to Aap(s.a.w) ne kaha k Allah Tala ne tum sabki MAGFIRAT kar di
    2.
    sahaba-e-keraam(r.a) ek jagah baith kar aap(s.a.w) ki wiladat ka zikr kar rahe the itne me Huzoor Sallallahu Alai Wasallam Aate hain aur farmate hain, k Allah Tala ne Tum sabki Magfirat kar di(ya phir isi tarah ki koi aur alfaaz use ki)
    Reply fast

    Like

  5. Asslamu ASSLAMUALAIKUM
    music,nach wagairah islam me haraam bataya gaya hai
    meherbani karke iski koi daleel pesh kare

    Like

  6. Beshak islam k under 2 hi eid hai tisri nahi jo mante hai galat hai or bidat bhi bidat usko kehte hai jo n quraan se sabit ho or n hadeeth se sabit ho usko bidat kehte hai

    Like

  7. 12 Rabi-Ul-Awwal Ka Din Nabi(S.A.W) Ki Zindagi Main 63 Bar Aya..
    Aur Khulafa-E-Rashideen Mai Se Abu Bakar(R.A)Ki Khilafat Main 2 Bar..
    Umar(R.A)Ki Khilafat Main 10 Bar..
    Usman(R.A)Ki Khilafat Main 12 Bar
    Aur Ali(R.A) ki Khilafat Main 4 Bar Aya, Kya In Main Say Kisi Nay Bhi Eid-Milad-Un-Nabi Manaya Ko Bidat Kaha Ya Isky Mananay Say Inkar Kia???
    Inho Nay Seerat-e-Nabi, Youm-e-Shuhada Manaaya Ya Mananay Ka Hukam Dia?

    Like

    • Ilmi Jawab- Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.

      SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

      Aqali Jawab- Kya RasoolAllah ne ek rakat me 3 sajde karne se mana kiya?? Nahiii na, Toh ap ajse ek rakat me 3 sajde karna shuru karde kyuki sajde karna to neki ka kaam hai.

      Like

  8. As u say ki eid miladun nabi kisi ne nhi manaya to ap muje tareekh me se kisi ek ka kaul bataye jisne eid miladunanabi manana haram va najaiz batayaho ya me thoda asan ker du to ap ye dikho ki kisi ne kaha ho ki nabi ko amad ka mahina ya din manana haram h.

    Or dusri bat jo apne likhi i biddat sidha jahannam me le jati h apne direct biddat likha ye thil nhi isko sahi karo verna bhot kuch h jo biddat h ap thal jaoge okkkkkkkk

    Like

  9. Faisal Khan | December 31, 2015 at 7:22 pm
    wa alaykum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Ye waisa hi sawal hai jaise ek shaks kah raha ho ki Huzur ne Mobile phone nahi use kiya ye kaha likha hai ? Kis Hadees me likha hai? Daleel us chiz ki hoti hai jo Huzur ne kiya ya Huzur ne farmaya na ki uski jo Huzur ne nahi kiya.

    Aisi baat bolne se hi aap wahabi sabit hote ho bolte ho nabi ki sunnaton pe amal karte h lekin apne kitab mai huzoor ke bare mai aisi baat likh diye ho ki kabhi zindagi mai jannat ke haqdaar nahi banoge.

    Like

    • Jab jawab na de pao to bas boldo ye wahabi hai. Ye style boht purana hai ab nai chalta ye. Maine koi kitab nahi likhi hai aj tak. Rahi tumhare ulema ki baat, to unki fikr karo jinhone apne naam ke kalme padhaye hai.

      “Khwaja Qitbuddin Bakhtiyar Kaaki (jo khalifa the Moinuddin Chishti ke) ek dafaa unke paas ek shakhs aaya aur Arz kiya k main Mureed hone aaya hu. Khwaja sahab ne farmaya, jo kuch hum kahenge karega, agar ye shart manzur ho to Mureed karunga. Us ne kaha, jo kuch Aap kahenge karunga. Khwaja Bakhtiyar Kaaki ne farmaya, tu kalma is tarah padhta hai,..
      ….لا اله الا اللّٰه محمد الرسول اللّٰه ..
      To ab ek baar is tarah padh
      “La ilaha illallah chishti rasool Allah” Chunke Rasikh ul Aqeeda tha, us ne fauran padh liya. Khwaja sahab ne us se bait li aur bht kuch khalat o nemat ata farmaya aur kaha, main ne tera Imtehan liya tha ke tujh ko mujh se kis qadar aqeedat hai warna mera magsud ye na tha ke tujh se is tarah kalma padhwau.”

      (Barelvi o Deobandi buzurg: Khwaja Fariduddin shakarganj, hasht bahisht, pg no.19)

      Like

  10. eid milad khusi h apni nabi ki ummat ki khuse h nabi aay milad k din jbhi him aay milad mtlb khuse agar vo nahe aaay hoty phir kya milad aur koi manata nahe h sirf khuse h k Allah ne rehmat e elahi ko hamare nabi bnakr bheja jb nabi ki paidaiss hui thi to maaka m jhande lagay gay khusi m isliye isko eid milad kha jata h aur eid to jume k din ko bhi kha jata h..

    Like

    • Toh fir sahaba ne ye khushi kyu nhi manayi? Kya ham sahaba se zyada RasoolAllah se Muhabbat krte hai?

      Like

      • O mere bhai Hazrat Hasan Basri R.A farmate hain agr mere paas uhad pahaar jitna bhi khazana ho to me ussy Nabi salallahu alaihe wa aalehi wassalam ke meelad par kharch kar du… wo 1 wali thy aor hum sab se zyada ilam tha unn ke paas to kya wo galat keh gaye hain ????

        Like

      • Apki baat ki dalail kaha hai?

        Like

    • Jiss ki khushi hum dussre shahro me aur dussre desho me manate hai wo nabi (s.a.w) ke shahar me Q nahi manae jaati ?? Waha juloos Q nahi nikale jaate?? Udhar jalse Q nahi hote?? Masjid-e-haram aur masjid-e-nabawi ko nahi sajaya jaata?? Kya waha ke logo iss Eid ke baare me nahi pata?? Halanke waha ke logo ke khoon me abbhi shaba-e-karam ka khoon hai…..Isske bawajood bhi wo Eid-e-melaad un nabi Q nahi manae???

      Like

  11. NOTE:

    12 Rabi-Ul-Awwal Ka Din Nabi(S.A.W) Ki Zindagi Main 63 Bar Aya..MANA NAHI KIYA
    Aur Khulafa-E-Rashideen Mai Se Abu Bakar(R.A)Ki Khilafat Main 2 Bar..MANA NAHI KIYA
    Umar(R.A)Ki Khilafat Main 10 Bar..MANA NAHI KIYA
    Usman(R.A)Ki Khilafat Main 12 Bar ..MANA NAHI KIYA
    Aur Ali(R.A) ki Khilafat Main 4 Bar Aya MANA NAHI KIYA ,
    Kya In Main Say Kisi Nay Bhi Eid-Milad-Un-Nabi Manaya? Kya Sahaba, Tabaen Or Aima-Arba Main Se Kisi Aik Ne Bhi MANA NAHI KIYA.

    Like

    • Aqali Jawab:
      Aj se 2 ke bajaye 3 sajde krna shuru kardo 1 rakat namaz me kyuki 3 sajde karna Quran aur hadees me kahi mana nahi kiya gaya hai. Ek aur chiz ajse fajr me 2 ke bajaye 3 rakat farz namaz padhna shuru kardo kyuki mana nahi kiya hai aur last chiz ajse Namaz e janaza se pahle Azan dena shuru kardo kyuki mana nahi kiya gaya hai.

      Hadith se jawab:
      Sa’iid Ibn al Musayyib r.a. (Tabaeen) ne ek shaks ko suraj tulu hone ke baad do rakat se zyada padhte hue dekha sajda aur ruko me izafa karte hue, toh unhone use mana kiya ye karne se. Us shaks ne jawab diya: ‘Ae Aba Muhammad, kya Allah mujhe namaz padhne ke liye saza dega? Unhone kaha: ‘NAHI, LEKIN WO TUMHE SUNNAT SE IKHTILAF KARNE KE LIYE SAZA DEGA’.(SUNAN AL-KUBRA 2/466).

      Like

  12. zakaria shareef

    jazakallah khiar faisal bhai for your post and replies on our missed guided brothers post may allah give all of us hidayah ameen ya rabb

    Like

  13. We are following sunnah of Holy Prophet (pbuh),in sunnah there is no Milad.
    Holy Prophet (pbuh)never celebrated his birthday so why do u?It is simple follow Sunnah or follow fabricated sayings of forefathers.

    Bani Israel’s always said,why should we listen to you(Holy Prophet (pbuh)),we will not leave religion of our forefathers.

    Kindly don’t follow bani israel people,who were stubborn.Follow Sunnah and Shariah.Quran and Hadith.

    May Allah guide and forgive all of us.Ameen.

    Like

  14. I want to know that jab pyare nabi is duniya me aye to Allah tala ne us saal puri duniya me harek ko Farzan beta ata Kiya… q Kiya Allah tala ne aysa?? Allah tala ne mild -e-nabi ki khushi me Kiya ayse ya koi or wajhe thi.. And mujse biddat ka Maine boliye?? Uska Matlab explain Kare

    Like

  15. O bhai Q logon ko gumrah kr ray hu. Biddat ki tareef b likh deni chaye thi apko.?

    agr har kaam khulafa or sahaba k tareeq wala e krna shart ha tu KIA sahaba ne printed Quran parhay thay?? Kia sahaba ne Zabar zzair wala Quran parha tha? kia sahaba ne Loud speaker ma azaan di thi?? Kia sahaba ne Khatam e Bukhari kia tha??? 1 ni 101 Dalil ha. par Saadi ne bot piari baat kahi thi k ma Apny rab ko Bgair dalil k mantaa hn. tu ma apnay Aqa ka Jashn e wiladat Bgair dalil k e mantaaa hun.

    Khuda k liye jo koi b hu. Munh kholnay se pahlay Damagh kholooo… or study kroo. search kroo…

    Wiladat walay din, Pahaaron ka onchaa hu jana, soraj ki roshni barh jani, Arab k Qahat zada Sahraon ma Barish, or sabzaa hu jana. har aurat ko Olaad r noreena atta hona, Janatioon k liye Kuhsboo or phal, Dunia ma aman hu jana, KIA yeh Saboot kam han Kushi mnanay or Ghar sajanay k.

    Allah apko Hadait day. Ameen

    Like

    • Pahli baat:- Biddat ki Tareef already diya hai Biddat wale article me aur Mere par fatawa lagane se pahle Imam Malik aur Sheikh Abdul Qadir Jilani par fatwa lagao aur unke liye duae hidayat karo jinhe aplog bhi haq par mante ho:-
      IMAAM MAALIK (raheemullah) KAHTE HAI :-

      ﺍﻹﻣﺎﻡ ﻣﺎﻟﻚ ﺭﺣﻤﻪ ﺍﻟﻠﻪ ﺃﻧﻪ ﻗﺎﻝ : ﻣﻦ ﺍﺑﺘﺪﻉ ﺑﺪﻋﺔ ﻓﺰﻋﻢ ﺃﻧﻬﺎ ﺣﺴﻨﺔ ﻓﻘﺪ ﺯﻋﻢ ﺃﻥ ﻣﺤﻤﺪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﺧﺎﻥ ﺍﻟﺮﺳﺎﻟﺔ، ﻷﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻳﻘﻮﻝ : ﺍﻟْﻴَﻮْﻡَ ﺃَﻛْﻤَﻠْﺖُ ﻟَﻜُﻢْ ﺩِﻳﻨَﻜُﻢْ ﻭَﺃَﺗْﻤَﻤْﺖُ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ ﻧِﻌْﻤَﺘِﻲ ﻭَﺭَﺿِﻴﺖُ ﻟَﻜُﻢُ ﺍﻟْﺄِﺳْﻼﻡَ ﺩِﻳﻨﺎً ] ﺍﻟﻤﺎﺋﺪﺓ : 3 ]

      Jo yeh sochta hai ki biddate hasana jaisi koi chiz hai Islam me, toh usne Rasool Allah s.a.w. ke Risalat par Khayanat ka Ilzaam lagaya Kyuki Allah Quran me kahte hai “Is din hamne tumhare mazhab ko pura kar diya hai…..” Toh jo mazhab nahi tha us zamane me aj wo mazhab nahi ban sakta.
      (AL-‘ITISAAM AS-SHAATIBI 1/38)

      SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (raheemullah) ne farmaya

      “Tumhare upar Ittibaa lazim hai aur nayi chiz ijaad karna nahi aur tumpar salaf as saaleh ke mazhab (tarike) par amal karna lazim hai aur wahi sidha rasta hai jo tumhe apnana chaiye.
      (al-Fath ur-Rabbaanee (p.35).

      Dusri baat:- Quran ko print karna, Loud Speaker use krna, ye sab dunyawi technologies hai koi deen ki ibadat nahi jo biddat hui. Detail ke liye ye video dekhe boht ache se samjhaya gaya hai apke ulemao ko- https://www.youtube.com/watch?v=A6SMpFBmP6Y&t=305s
      Rahi baat Quran Pe aarab lagana biddat hai ya nahi to uske liye ye article padhe- https://iqrakitab.wordpress.com/2015/05/14/kya-quran-majeed-me-aaraabzer-zabar-baad-me-dakhil-kiya-gaya/

      Teesri baat:- Quran me Allah ko bagair Daleel nahi balki bagair dekhe manne ko kaha h. Kabhi suni sunai baat ko chor kar Quran khol kar padho to pata chale na asal me waha likha kya hai, Apne hi buzurg Ahmad Raza Barelwi ka Kanzul Imaan khol kar chq kr lena surah baqara ayat no. 3. Aur jaha tak Daleel ki baat hai to Quran to bar bar daleel par focus karta hai, misal ke taur par surah baqara aayat 111 me Allah pak farmate hai, “Yeh kehtay hain kay jannat mein yahud-o-nasaaraa kay siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachay ho to koi daleel to paish kero.”

      Chauthi baat:- Paharo ka uncha hona wagaira wagaira, ye kis kitab me likha h bhai? Zara Daleel aur ilm se baat karo bhai kissa, kahani, jazbaat se nahi. Aur agar waqai ye sab hua tha to fir sahaba, tabaeen, tabe tabaeen aur Imam Abu Hanifa ne kyu jashn kyu nahi manaya, kyu ghar nahi sajaya? Kya Ap Huzur se sahabao se zyada muhabbat krne ka dawa karte ho ya sahabao se zyada Deen jante ho?

      Akhri baat:- Apne is biddat ka haal ek hadith me dekhlo:
      RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hauz-e-Kausar say apne ummatio ko pani pila rahe honge aur unhe rok diya jayega, inko bhi Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм yehi samjhaenge ke yeh to mere farmabardar ummati hain lekin Aap ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko mutla’a kiya jaye ga ke ‘Ae Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aap nahi jantay ke inho ne Aap ke jane ke bad kya kuch kiya, inhon ne Aap ke baad Deen me Nayi Nayi cheeze nikal li thi’, to Aap ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм farmaenge “In ke liye (rahmat se) duri ho! In ke liye duri ho! Jinho ne mere baad Deen ko badal dala.”

      [Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq, Hadith- 6584].

      Like

  16. Kia hazrat Muhammad salalahualehi alihiwasalm har Monday ko roza nahi rakhte teh kiya aur jab unse pocha gaya tu unho nein farmaya mein is din paida huwa tha

    Like

    • Ye adhuri hadith bayan ki apne. Muqammal hadith ye kahti hai ki is din mai paida hua aur isi din mujh par wahi nazil hona shuru hui [Sahih Muslim, hadith-1162; rawaah- Abu Qataadah al-Ansaari r.a.]. To agar koi Monday ko roza rakhe huzur ki is sunnat par to ye baees e ajar hai. Aur is hadith se ye zara bhi sabit nahi hota ki RasoolALlah ne ye roza rakh kar apne wiladat ka jashn mananya tha kyuki jashn party kar ke manayi jati hai roza rakh kar nahi. Dusri baat ye roza RasoolALllah ﷺ har hafte rakha karte the lekin jashn e wiladat saal me ek bar manaya jata hai to isse khud prove hua ki ye roza jashn e wiladat ke taur par nahi tha.

      Like

  17. Faisal bhai ma’asa allah aap bahut ache jawabat de rahe hai
    Allah aapki zehan ko deen ke liye aur khol de
    Aur biddatiyon ko sahi samajh de..

    Like

  18. Agar jashn e milad un nabi manana jaiz na hi
    Hai toh jis tareeqe k bare mai likha hai kya ghr mai s.a.w. k naam se fatiha dilana jaiz hai

    Like

  19. Bismillah … Assalamoalikum … Intahaii adab o ehtrm k sth ap c guzarish h k Aka s.a.w k millad mubarik PR sawal uthanayy c phly surahh e Insharah ka baghoor matalaa frma laynn jiski aytoon m Rab e subhan n khud frmaya hain k
    “AY MEHBOB HM NAY APKAY ZIKAR KO BULAND FARMAYA HAI R ISKY SATH ALLAH SUBHAN NY FARMAYA K ALLAH R USKAY FARISHTAY AP S.A.W PAR DURUD PARHTAY HAIN TO AY EMAN WALO TM BHI AP S.A.W PR DURUD PARHA KRO”
    JS TRHAN BAJAMAT NAMAZ PRHNAY KA SAWB HAI ISI TRHAN DURUD O SALAM PAISH KRNAY K LIAY TMAM EMAN WALO K LIYA YE AZEEM TOHFA HAI K VO GANAA BAJANY KI MHFLO C DUURRR REH KR AUR TV DRAMO C HAT KR MOB K ISTMAL C DUR HO KR YE CHAND LMHAY AGR HM AGHATAY HOJATAY HAIN TO HO SKTAA HAI YHI HMARI BAKSHISH KA ZARYA BN JY KIA PTA ALLAH KO KS WKT KA PRHNA KUBUL HOJAY BRAY MHRBANI MILAD PAR SAWL UTHANAY K BJAYY YE MEDIA KI TRF SAWAL UTHAYN K JO BHODGI YE UMAT E MUSLAMA KO SEKHA RAY HAINN US C HM KASAYY BCHAYN KHUDA K LIA WAHABI SUNNI KI LRAI C HT KR AIK ALLAH K BNDAY HO K SOCHO R AIK NABI KI UMATTT BN KR CHLO R ALLAH C BAKSHISH MANGO R ASA BOL MT BOLO JSKA HMYY IS JAHAN M B NATIJA BHUGHTANA PRAYYY R AKHRAT M B JO KM ALLAH R USKAY FARISHTAY KRTY HAIN US PR SAWAL UTHANY KA HMYY KO HK NHI R KOI IKHTYAR NHI ALLAH APKO R HM SBKO HDYAT ATA FRMAY R AKHIR M SURRAH E HUJRAT KA MUTALA FRMA LAYN K

    “KISI SHKS KO IJAZT NHI K VO DUSRAY KO GLT KHAY HOSKTA HAI VO ALLAH KO TM C ZAYDA MHBOB HO ”
    W.SLAM

    Like

    • wa alaykum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu..
      Pahli baat:- Apne jo ayat diya hai us me RasoolALlah ﷺ ka zikr karne aur un par durud padhne ka hukm diya gaya hai, Milad manane ka nahi!
      Dusri baat:- Apke sawal ke jawab me kahunga ye saare amal sirf ek din kyu, har din kyu nahi? Kya Islam par ek din ka amal hona chaiye? Ya Huzur ﷺ se Muhabbat aur unpar durud o salaam sirf ek din hona chiaye? Har din karne me kya mushkil hai? Sachhi Muhabbat ek din ki nahi hoti!

      Like

  20. As slaamualaikum
    Well said faisal khan sahab
    This is YAHIYA QURESHI
    I want to get in touch with you
    Are you on any social sites
    Please send me link on my mail
    yqureshi09@gmail.com

    Like

Let's Hear It!