KHANE PAR FATIHA PADHNE KI SHARAI HAISIYAT

Khane pe surah fatiha padhna:

Allah pak Quran me farmate hai

..Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye.
(al Israa :89)

 Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya

” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai …”
Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.

Muslim ummah ke ek groh me ek riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauke par ya har jume-raat ko khane ke upar surah fatiha padhte hai aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai. Is amal ka zikr na toh kitab e hidayat me hai aur na hi sunnate Rasool me. Lihaza ye biddat me shumar hota hai.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.

Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676)].

Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain:  TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”. 
SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

RasoolAllah  ﷺ ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai. So hame Allah se darna chaiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chor kar sunnat ko apnana chaiye.

Hamare bhai apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai. Jo ye hai:

Jabir bin `Abdullah bayan karte hai, Ham Ghazwa e Khandak ke mauke par khandak khod rahe the toh ek boht sakht chattan nikal aya, sahaba karaam r.a. Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki khidmat me Hazir hue aur Arz kiya: Khandak me ye ek chattan nikal ayi hai, Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya “(Acha) Mai Utarta hu.” Fir Ap khade hue, us waqt Ap ke pet par Patthar bandha hua tha, teen din guzar chuke the aur hamne koi chiz chakh kar bhi nahi dekhi thi, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Kudal pakad kar mari to wo (chattan) aesi ret ki manind ho gai jo aasani se girti hai, mai apni ahliya ke pas aya to pucha kya tumhare pas kuch (khane ko) hai? Kyuke maine Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko sakht bhuk ke aalam me dekha hai, Unhone ek thaili nikali usme ek Saa’ Jau the aur hamare pas Bakri ka ek bachha tha, maine ise zibah kiya, Jau pise hatta ke hamne gosht ko handiya me rakha, fir mai Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke pas aya aur Sargoshi ke andaz me arz kiya, Allah ke Rasool! Hamne apna bakri ka baccha zibah kiya hai aur ek Saa’ Jau ka aanta gunda hai, lehaza Aap Tashrif laye aur kuch sathiyo ko bhi sath le chale, lekin Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne zor se Awaz di Khandak Walo! Jabir ne ziyafat ka ehtemam kiya hai, Aao Jaldi karo. Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Mere aane tak apni Handiya chulhe se na hi utarna aur na roti pakana shuru karna. Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Tashreef laye to maine apke samne aanta nikala, Aapne isme Lu’aab milaya aur barkat ki dua ki fir farmaya Roti pakane wali ko bulao wo tumhare sath roti pakaye aur Handiya se salan nikalte raho, lekin ise chulhe se niche na utaro. Wo ek Hazar ki tadad me the, Mai Allah ki kasam uthata hu ke in sab ne kha liya hatta ke wo bach gaya, aur wo wapas chale gaye jab ke hamari Handiya pahle ki tarha bhari hui thi aur Aante ki Rotiya pahle ki tarha pakai ja rahi thi.

Sahih al-Bukhari, hadith-4102.

Kya daleel di hai batil ne jab Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne roti[khane] me barkat ke liye duwa kari tu 1000 sahaba[ra] pet bhar kar khaye! Lekin unke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai. Ye unkeke liye sochne wali baat hai!!!

Jab Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne roti me barkat ke liye duwa ki toh Ap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba r.a. ko malum nahi tha. Lagta hai unko ilm gaib hai kyu ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne bataya hi nahi ke unhone kaunsi surat ya ayat ya dua padhi hai Roti me barkat ke liye. Aur ye bhi baat qabile Gaur hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne dua se pahle apna Lua’ab (thuk) dala usme. Ab agar isi hadith par amal karna hai to Mukammal hadith par amal kare aur Khane par Fatiha padhne se pahle usme Lua’ab (thuk) dala jaye aur fir sab ko parosa jaye. Fir dekha jaye wo barkat wala khana kaun khata hai. Dusre ko chhore wo khud nahi Khayenge jisne apna Lua’ab dala hoga usme. Is baat pe gaur karna chaiye unko.

Dusri baat, unki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah ﷺ ka mojzah(miracle) tha aur agar kisi muslim me zara si bhi aql hogi to usko ye pata hoga ki mozza aur sunnat alag alag chize hai. Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chaiye. Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e Muhammadi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar ya kisi khas mauke pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye???? Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.

JO chiz deen hai hame RasoolAllah ﷺ ne bata diya hai. Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.

Mohammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

 

-wa Allaho alam

floral-divider-min

Prepared By: Faisal Khan

Posted on January 24, 2014, in Sunnah and Bidah and tagged , , , , , , . Bookmark the permalink. 10 Comments.

  1. I will explain u with an example
    agar hum bimaar hojayen toh beshak doctor ke paas jaate hain aur jo woh medicines dete hain woh khaate hain kyunke humko yaqeen hota ke khaane par shifa hogi,toh mai puchna chahati hoon k jis khaane par sure fatiha jisko suratul shifa bhi kehte hain parha jaata hai toh aapko us khaane par yaqeen nahi hai k khaane se shifa hogi
    taajub ki baat hai ke aap musalman or deen daar hone ke bawajood itna samajh nahi sake

    Like

  2. Chehram ke bare mai jankari chahiye ki marne ke baad ghar waloun ko kya karna hai aur cheram karna hai ya nhi.

    Like

  3. Yeh yo ayat aap nay quote ki hai “Tum per haraam kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jis par Allah kay siwa kisi aur ka naam pukara gaya ho”

    Kya aap ko pata bhi hai k ayat nazil kyun hui thi? Loog “Bismillah Hir Rehman Nir Raheem” purhnay kay bajaye (Nazouzabillah min Zalik, Maaz Allah) Bismillah Lazat aur ooza ka naam laytay thay (jin do boothoon ka zikr Quran-e-majeed mein bhi hai).

    Tou mere dost, ugur aap Surah Fatiha purh rahe ho tou kisi aur ka qalam kaise. Aap tou Allah Rub-ul-izzat ka hi kalam purh rahe ho. Aur kisi ko khana khilanay mein jo sawab milta hai tou woh insaan un Awliya allah ki rooh-e-mubrauk ko sawab daynay ki dua kurta hai.

    Shayad, aap ko nazroon say woh baat nehin gurzi jub ek Sahaba nay aap RasoolAllah ﷺ say poocha kay sub say acha amul kya hai, tou aap RasoolAllah ﷺ nay furmaya ki kisi ko bhookay ko khana khilana.
    Tou is k budlay mein jo sawab milta hai woh sawab un hazrat ko aqeedetun bheja jata hai.

    Aur, kabhi Quran aap tarjumay k saath purho gay tou pata chalayga k Allah nay Aakhri ki 30 surtaoon mein furmaya hai k ugur yateem k sur pay haath nehin rukha ya kisi gareeb/bhokay ko khana nehin khila tou Allah rub-e-zuljalal say koi tawaqo mut rukhna.

    Allah aap ko hidayut day aur fatiha khuwani kurni ki jaib aur tofeeq bhi aata furmaye. Aur bilkhasoos aap ka dil narum karay matlabi pun say k aap apnay hisse ka sawab kisi aur ko day sakein. Ameen, Sum-Ameen Allah hum ameen.

    Like

    • Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм, Hazrat Abu bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, [r.a.], In sab ne Apne pure zindagi me Fatiha Khuwani nahi ki. Jab ki ye sab ap se behtar Quran samajhne wale the. Apne Buzurgo ki sunnat ko chhor kar hamare Rasool aur sahaba ki sunnat ko apnaiye.

      Like

  4. shakil sheroo

    Agar aise hi har biddat gumraah hai to
    Namaaz men loudspeaker ke istemaal ko hum kyaa kahenge?
    Loudspeaker pe azaan kehne ko?
    Hajj ke liye safar men train yaa plane ke istemaal ko?

    Like

    • Loudspeaker, Train, Plain, Biryani ye sab dunyawi chize hai Deen ki ibadate nahi, Biddat ka matlab Deen me nai nai ibadate shamil karna hota hai Deen me train nahi.

      Like

      • syed mujeer Ahmed

        aap mujhe bewakhoov lagte ho kisne kaha ke ham fathiha ibadat samaj kar karte hai wo to ham esaale sawab ke liye karte hai aur ye aap baar baar ya kya hadees farmarahe hai ki Hazrat umar rz ne kaha Tamaam biddate gumraahi hai ba zahir wo ache lage
        ek kaam karo taravi per research karo nabi ke daur mai taravi jamat ke saath nahi padi jaati thi alag alag padi jaati thi lekin jab Hazrat umar ka daur aaya to unhone jamat se taravi ki namaz padhne ka hukm huwa aur aaj tak wahi chal raha to ise biddat nahi kaho ge tum

        jawab do aur ye mera whatsapp num 8050207570 text karo ham baat karege iske baare mai

        ha aur ek baat hadees hai ke aamal ka daromadaar niyyato par hai

        Like

      • Apka jawab- https://iqrakitab.wordpress.com/2016/03/13/kya-jamaat-se-taraweeh-padhna-biddat-e-hasana-hai/

        Aur ise padhne baad ye b padhe [Kya biddat e hasana jayz hai] : https://iqrakitab.wordpress.com/2013/10/05/kya-biddat-e-hasana-jaiz-hai/

        Lastly, Amal ka daromadar niyat par hai. Iska matlab ye thodi h ki ap achhi niyat karle kisi chiz ki aur bas ho gaya, na kitab ko dekha jayega aur na sunnat ko. Agar ye logic lagaye apka to Shiya log jo matam karte hai wo b nek niyati se hi karte hai koi bad-niyati se ye nahi krte, fir ham unhe galat kyu kahte hai?

        Like

Let's Hear It!