TARAWEEH 8 RAKAT YA 20 RAKAT??

taraweeh

Nafi riwayat karte hai ki Ibn Umar ne kaha ki Jab RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм minber pe the toh ek shaks ne unse pucha ki Qiyam ul lail(Taraweeh) kaise padhna chaiye?
RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Qiyam ul lail do-do rakat kar ke padho aur jab subah(sadik) hone ka dar ho to ek rakat padhlo, yeh(ek rakat, pahli saari) namaz ko taak bana degi.

Sahih al-Bukhari, hadith- 472.

Is hadith me ye kaha gaya hai ki ham Taraweeh chahe jitta padh sakte hai fajr se pahle. Lekin agar RasoolAllah ke amal ki baat ham kare toh is ka zikr hadith me kuch is tarha se hai:

Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569.

Is hadith se ye sabit hota hai ki RasoolAllah hamesha 11 rakat taraweeh padhte the chahe ramzaan hota ya gair ramzaan.

Agar ham salaf ke record dekhte hai to hame ye pata chalta hai ki kuch salaf 20 rakat taraweeh padhte the to kuch 36 rakats bhi padhte the.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba, Vol.2, Pages 165 & 166).

To baat wazeh hui ki ham chahe jitti rakat padh sakte hai Taraweeh lekin agar RasoolAllah ka tarika apnana ho to 8 rakat padhni chaiye lekin 20 ya aur koi tadad padhne ki ijazat di hai RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne.
Aur hame ye koshish karni chaiye ki ham Imam ke sath taraweeh padhe aur unhi ke sath Taraweeh khatm kare chahe Imam 8 rakat padhe ya 20 ya aur koi tadad:

RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Jo shaks Imam ke sath taraweeh padhta hai jab tak Imam khatm na karde to Allah (uske aamal me) likhenge ki usne puri raat namaz me guzari.”

Narrated by al-Tirmidhi (806) and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi.


RasoolAllah Aur Sahabo Ki Taraweeh Ki Rakato Ki Tadad

Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569.

Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne hame Ramadan me aanth (8) rakat rakat qayam e Ramadan padhaya fir witr padhai.

Ibn Khuzaima -hadith 1070, Ibn Hibban- 920, Abu Yala Al-Musli- 1802. Is hadith ko Imam Ibn Hibban ne sahih kaha hai.

Is hadith se sabit hota hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne teen raat namaz padhai wo Gyara(11) rakat hi thi.

Hazrat Saa’ib ibn Yazeed se riwayat hai ki Hazrat Umar Farooque r.a. ne Hazrat Ubayy ibn Ka’ab aur Hazrat Tameem ad-Daaree r.a. ko Hukm diya ki logo ko Gyara (11) rakat Qayam e Ramadan padhae.

 Muwatta Imam Malik, Salaat fi Ramadan, 1/115. Musannaf ibn Abee Shaybah 2/391-392,  As-Sunan Al-Kubraa Of Baihaaqee (2/496).

Is hadith se Sabit hua ki Hazrat Umar Farooque r.a. ne Madinah ke qariyo ko Ghyarah (11) rakat padhane ka hukm diya.page-break-symbol

Prepared by:- Faisal Khan

 

 

Posted on June 15, 2014, in NAMAZ E NABAWI, Ramadan and tagged . Bookmark the permalink. 31 Comments.

  1. Aftab Siddique

    Assalamualaikum warehmatullahe wa barkatahu
    Bhai aapne jo dalil yaha pesh ki hai wo tahajjud ki namaaz k bare me hai.

    Like

  2. a/w … surah fatiha k last me walajjwaalleen hai ya waladdwalleen

    Like

    • Walykum assalam

      Waladdalleen( ؤالضالين)
      Padha jata hai
      Kyuki ( ض)zaad ka makhraj zaban ke bayein kinare aur bayein janib ke upar k dadho se nikalta hai.

      Matlb ( ض)zaad ko padhte waqt zaban ko baye janib karna hoga..

      Like

  3. Mohammad Ziauddin

    Asalamualaikum Bhaijaan
    Tahajjud aur Taraweeh agar ek hi namaaj hai toh fir kya Ramadaan mein isja padhna mandatory hai aur dusre mahino mein nahi. Plz explain. I am confused.

    Like

  4. Taraweeh to sirf ramzan me padhte hain….fir ghair ramzan me padhi gyi namaz taraweeh kese hui???

    Like

  5. Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh…
    Bhaijaan mujhe ye janna tha k 4 rikat sunnah namaz kaise ada ki jaye char ek sath ya do do kar k…

    Or agar kisi Hadith se dono sahi hai to please btayen..!!
    Jazakallah khair

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. RasoolAllah ka farman 2-2 rakate kar ke padhna hai lekin agar 4 ek salaam ke sath padhe to bhi jaiyz hai lekin ye RasoolAllah ki sunnah se hat kar hoga.
      Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Raat aur din ki (nafil) namaz do (2) do (2) rakatei’n (padhi jaati) hain.’
      (Abu Dawood: Abwab al Tatwoo 1295) Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha.

      Like

  6. Assalam aapne jitni bhi hadis nakl kiye hai usme Qiyamul Lail ka zikr hai yani Tahajjud… Taraweeh ka to zikr hi nahi hai in hadiso me aur 8 rakat padne ka bhi nahi. Aur aapne Bibi Ayesha ki jo Hadis nakl kiye hai wo bhi Tahajjud ke talluq se hai kyuki wo hadis Sahih Bukhari me Tahajjud ke chapter me hai nake Taraweeh ke chapter mein. Aur Taraweeh aur Tahajjud ye do alag alag amal hai.

    Ye bhi bataye ki aap 8 rakat ke conclusion par kaise pohoche… 8 rakaat ka to aapke article ke kisi hadis me maujud hi nahi hai….

    Like

  7. Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh…

    Maine sunnah namaz k lye puchha tha, or agar frd k bad sab nafil hai to phir 10 sunnah ka zikar bhi to Hadith mein hai…

    Please mujhe tafseel se samjhayen..
    Jazakallah

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Arabic me fard ke alawa baaki saari gair-farz namaz ya ibadat ko nawafil kahte hai. Aisha r.a. ne kitni hi hadeeso me sunnate mauqida namaz ko nawafil namaz kaha hai.

      Like

  8. Jazakallah Khair Faisal bhai

    Like

  9. Wo Hadis Taraweeh ke chapter me bhi hai kyuki usme khas karke Huzur ke Ramzan ke namaz ke baare me pucha gaya… Aur Ayesha Siddika ki Muslim Sharif ki Hadis http://sunnah.com/muslim/6/148 hai ki Huzur Do Do Rakat karke namaz padte hai aur last me ek rakat witr padte the (total 11 rakat, isse to taraweeh 10 rakat saabit hui jabki ye taraweeh ka zikr nahi ye tahajjud ka hai)… Is Hadis ko consider kiya jaye to bhi 8 rakat Taraweeh saabit nahi hoti hai… Aapki link maine dekha hai Taraweeh aur Tahajjud ke ek hone ki ek Dalil nahi hai usme. Imam Bukhari ne Taraweeh ka Chapter alag banaya hai aur Tahajjud ka Alag isse malum hota hai ki wo Khud Taraweeh aur Tahajjud ko alag mante hai… Ijma 20 rakat par hua Ummat ka aur 8 rakat taraweeh ki koi daleel nahi hai bhai…

    Like

    • Bhai yahi to ham kah rahe hai ki Huzur ki Ramadan ki namaz 8 rakat thi jise qiyam e Ramadan kaha gaya hai. isi liye Imam Bukhari ne ise kitab ut Taraweeh me rakkha hai warna 8 ke bajaye imam bukhari 20 rakat wali hadith ko kitab ut taraweeh me rakhte aur 8 rakat wali hadith ko kitab e tahajjud me. Isse Imam bukhari ka aqida pata chalta hai. Imam Bukhari ne tahajjud aur taraweeh ki alag kitab banayi kyu ki Ramadan me jamat se taraweeh ada ki jati hai jab ki gair ramadan me bina jamaat ke. Aur ap kisi bhi 1 hadith me dikha de ki Taraweeh lafz likha hua hai, darasal ye lafz baad me ahle ilm ne diya tha. Agar ap dikha de ki RasoolAllah aur sahaba ne Taraweeh alfaz use kiya to ham man lenge ki ye 2 namaze hai. Aur jo RasoolAllah ne 3 din Jamaat ka intzam kiya tha usme bhi apne 8 rakat taraweeh padhai thi. ye lo hadith:

      Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne hame Ramadan me aanth (8) rakat rakat qayam e Ramadan padhaya fir witr padhai.

      Ibn Khuzaima -hadith 1070, Ibn Hibban- 920, Abu Yala Al-Musli- 1802. Is hadith ko Imam Ibn Hibban ne sahih kaha hai.

      Is hadith se sabit hota hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne teen raat namaz padhai wo Gyara(11) rakat hi thi.

      Aur jo apne kaha ki ummat ka ijma hai 20 rakat par to beshak ham 20 rakat padh sakte hai lekin RasoolAllah ka tarika 20 nahi 8 rakat tha. Aur jo apne kaha ki 8 ki dalail nahi h to ye baat galat hai boht si dalail hai jin maise maine 1 dalail di hai upar

      Like

  10. jahangeer ahmad khan

    mera kya qabarastan mai hath utha sakte hain kya. Plz reply me.

    Like

  11. Aasalam alykum ..Ladkiyon k liye namaz ghar mai padhna zyada Behtar hai..kya ladkiyaan Taraweeh Ghar mai padh sakti hai ? Agar koi Isha k sàath Taraweeh 8 rakat padhle .. Aur agar Tahhajud padhna chahe tho kya wo padh sakte Hai.. Kyunki Tahhajud aur Taraweeh ek Hi Namaz Ka Naam Hai..

    Like

    • fitne ka dr na ho to aurte masjid jaskti h wrna ghr k kmre me Namz pdhna zyda afzal h. agr tahjjud bhi pdhna h to witr chhod dein aur sahri k waqt tahjjud n witr ada krlein lekin rat se tahjjud n witr ki namz ki niyyt krle sone se phle. traweeh Qiyam ul lail n tahjjud ye ek hi namazo k alg alg name h isliye agr Ramzan me tahjjud ki baat krrhe h to traweeh ya Qiyam ul lail ya tahjjud ek hi hogi isliye Aap traweeh ada krne k baad sahri me uthh kr Aap nawafil pdh sakte h q k sunnat Namaz to Isha baad hi ada hogyi trawih/tahjjud.

      Like

  12. Assalam Bhai mjhe hairaani hai ki aap 8 rakaat saabit karne ke liye ek zaif hadis ka sahara le rahe ho… Jabir Radiallahu anho ki is hadis ki sanad me Isa ibn Jariya jis ne wahid is hadis ko riwayat kiya hai.. Aur Ulema ne iski koi hadis ko Sahih nahi kaha… Rasoolallah se na 8 rakaat sabit hai na 20.. Ha lekin Ijma 20 par hua isiliye 20 rakaat se kam jo padega wo gumraah kehlayega…

    Aur Taraweeh jama ka siga hai… Iska singular Tarweeha hai aur Dual mein Tarweehen kaha jayega… Taraweeh ko 2 se zyada ko kaha jaata hai… Taraweeh ka word hi is baat ko saabit karta hai ki ye namaaz 8 rakaat se zyada hai… kyuki 8 rakaat wali namaaz to tarweehen kehlayegi…

    4×1=4 Tarweeha
    4×2=8 Tarweehan
    4×3=12 Taraweeh

    Har chaar rakat ke baad sukuun ke liye bethne ko tarweeha kehte hai aur 2 se zyada tarweeha ko Taraweeh kaha jata hai…

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu. Agar apko usool al hadith ka ilm hota to ap aesi baate nai karte. Bahes karna zaruri nahi hai zaruri hai Deen ke usool aur bunyade sikhna. Jabir r.a. wali hadithme Isa ibn Jariya ko sirf chand Muhaddith ne zaif kaha hai balki aksar Muhaddith ka kahna hai ki wo Zaif nahi hai. Ye hai Muhaddiso ke qawl

      Al Haythami also authenticated his hadeeth [Majma’ Al Zawaid 2/72,] and also declared him “ثقة”. [Majma’ 2/185]
      Al Bosairi Praised one of his hadeeth in Zawaid Sunan Ibn Maajah. [hadeeth 4241]
      Imam Dhahabi said about his hadeeth “إسناده وسط”.
      Imam Bukhari has not done crictism on him in his Tareekh Al kabeer 2/385
      Ibn Hajar Al Asqalani has observes silence on his hadeeth [Fath ul baari 3/10 hadeeth 1129]
      Hafidh Munzari stated one of his hadeeth to be “بإسناده جيد” [ Al Targheeb Wal Tarheeb 1/507]
      Abu Haatim Al Raazi mentioned him but did not do Any jarha on him. [Al-Jarha wal Tadeel 6/273] And according to Deobundis, the silenceof Abu haatim al raazi on any narrator is the Soundness of the narrator to be thiqqa from Abu haatim Al raazi. [Qawaaid fee Uloom il hadeeth Pg 247]
      Namwi hanafi declared one of his narrated hadeeth to Sahi [Athaar ul Sunan: 960].

      Aur jo apne 20 rakat pe ijma kaha to mai bas itna kahta hu ki JHUTE LOG AUR JHUTI BAATE. Kab hua ijma? Ijma ka matlab sikh kar aye ap.

      Aur taraweeh ka matlab nahi pucha apse maine, apse kaha koi ek hadith ap aesa dikhaye jis me RasoolAllah ya Sahaba ne Taraweeh alfaz kaha ho.

      Like

  13. Assalamualykum bhai mujhey maaloom hai ki 8 rakaat sunnat hai aur razey kaul bhi salaf sey 8 hi saabit hai lekin ek baat ki ek deobandi aalim ney takreer kartey kahaa ki taraweeh ka matlab jaisa upar cmnt mey hai zyada bethna hai toh iska clarify karey kyun ki hadith ya sahaba sey toh taraweeh lafz saabit nahin hai, lekin kyun suru sey hee muhaddithon ney tarweehen nahin kahaa taraween kahaan plz ????

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Naam dusra rakhne se koi fark nahi padta bhai Ibadat wahi rahegi. Behtar lafz Qayam e RAmadan hai lekin q ki taraweeh word Muhaddiso aur ulema ne use kiya hai to isko Taraweeh bohne me koi problem nahi jaise ham Salaah ko Namaz bolte hai lekin ibadat wahi rahti hai

      Like

  14. Masha Allah..Faisal.Ji..Allah aapke ilme izafa kare..aur Sunnat e Nabwi pe hm khalis aml kar sake..Jazakallahu khair

    Like

  15. Jazak allah khair behtreen jawab diya

    Like

    • Assalamu Alaikum Jazakallahu Khair Faisal Bhai Aapke Taraweeh Waley Article Se Bhot Jankari Mili….

      Allah Aapke Ilm Me Izafa Ata Karey….Ameen

      Like

  16. assalamualykum aurat taraweeh namaz kitne din tak padh sakti hain

    Like

Let's Hear It!