KASAM TODNE KA KAFFARA

Allah pak Quran e majeed me farmate hai:

لا يُؤَاخِذُكُمْ اللَّهُ بِاللَّغْوِ فِي أَيْمَانِكُمْ وَلَكِنْ يُؤَاخِذُكُمْ بِمَا عَقَّدْتُمْ الأَيْمَانَ فَكَفَّارَتُهُ إِطْعَامُ عَشَرَةِ مَسَاكِينَ مِنْ أَوْسَطِ مَا تُطْعِمُونَ أَهْلِيكُمْ أَوْ كِسْوَتُهُمْ أَوْ تَحْرِيرُ رَقَبَةٍ فَمَنْ لَمْ يَجِدْ فَصِيَامُ ثَلاثَةِ أَيَّامٍ ذَلِكَ كَفَّارَةُ أَيْمَانِكُمْ إِذَا حَلَفْتُمْ ۔

Tum log jo bagair soche samjhe kasam kha lete ho un par to Allah tumhari girift nahi karega magar jo kasam tum jaan bujh kar khate ho un par wo zauru tumse muwakhza karega. (Aisi kasm todne ka) Kaffara ye hai ki tum das(10) miskeen ko ausatan darje ka wo khana khilao jo tum apne baal-bachho ko khilate ho ya unhe libas faraham karo ya fir (ek) gulaam aazaad kardo. Jise ye muyasar na ho wo teen din ke roze rakhe. Yeh tumhari kasmo ka kaffara hai. 

Surah Maida, ayat- 89.

Is ayat se pata chalta hai ki agar kasam ka kaffara ada karna hai to use 3 chizo ki choice hai:

1. Das(10) miskeen(gareeb) ko ausatan us jaisa khana khilana jo ham apne bacho ko khilate hai. Un 10 logo ko agar jama kar ke lunch ya dinner ke liye bulaya jaye to kaafi hoga.

2. Un das logo ko kapde dena. Kapde aese hone chaiye ki ek shaks aaram ke sath usme namaz padh ke ya padhne ja sake. Agar aurat ko dena ho to aese kapde hone chaiye jo us k badan ko poshida rakh sake aur head cover bhi dena chaiye. Mard ke liye upar aur niche dono ka kapda dena chaiye (Upper and lower garment).

3. Ek Gulaam ko aazad karna.

Jo in chizo ko na kar sake wo 3 din ke roze rakhe.

Aksar ulema is baat se mataffik hai ki kaffara ki adaegi paiso (cash) me nai ho sakti.

Ibn Qudaamah r.h. farmate hai: “Ye kafi nahi hai ki khane ya kapde ki keemat ki keemat ada ki jaye kyuki Allah ne khane ka zikr kiya hai isliye kaffara kisi aur zariye se ada nahi ho sakta kyuki Allah ne hame teen chizo ki choice di hai aur agar keemat ada karne ki ijazat hoti to sirf teen chiz tak choice mahdud na rahti”.

Al-Mughni by Ibn Qudaamah, 11/256 .

Shaykh Ibn ‘Uthaymeen farmate hai:

“Agar kisi shaks ko azaad karne ke liye gulam na mile, ya kapde dene ke liye, ya khana khilane ke liye, toh use teen din lagataar roze rahne padenge bina koi darmiyan me waqf ke sath”.

Fataawa Manaar al-Islam, 3/667 .

FF_Divider_Pink

 

Posted on July 26, 2014, in Others and tagged . Bookmark the permalink. 13 Comments.

  1. Assalamo alaikum Ji hme malum krna h agar kisi ne kisi shakhs ko allah or uske rasool ki or Quran ki kasam de di ho to kya krna hoga plz btae kya kuffara h kasam dene ka

    Like

    • wa alaikum assalaam.. Pahli baat RasoolAllah ne farmaya hai ki Allah ke alawa kisi aur ki kasam khana shirk hai.
      Dusri chiz Kasam dena jaisi koi chiz nahi h islam me, ye bas hamara culture h. Toh Islam me jab koi chiz hai hi nahi to uska kaffara kaisa.

      Like

  2. Salam,
    Mene kisi insan ki kasam kha kar yeh kaha tha k main pani nahi piyu ga jab tak wo insan wo kaam na kar de jo mene use kaha tha or usne wo kaam nahi kia phir me yeh kasam bhul gaya or mene pani pi lia kya muje is kasam ka kaffara dena hoga????

    Like

  3. Jazak Allah kheir br faisal khan (y)

    Like

  4. Asslamualikum

    Maine kisi ki kasam kha li or usne meri ab him dono ko bahut afsoce hai hum todna chate hai hum kya kre plzzzzz tell me plzzz

    Like

  5. Salam Maine Qur’an Sharif ki kasam khayi thi Jo Maine tode di h please mujhe ye btaye ki kaffara kaise ada kiya jaye jese mai dus miskeeno ko khana khilawoo to two time khilana chayiye ya ek time Maine dus miskino ko chadar di h jisme marad aur aurat dono ko diya h kya mera khaffara ada ho gya

    Like

  6. mene apne shohar ko kisi bat ka yaqin dilane ke liye kalam paak ki qasm khayi bttt mujhse wo qasam toot gyi to mujhe kaffara dena hoga kya ? aur kaffare me kya krna hoga ? aur kya jb jb wo kam krna pade jise nakrne ke liye kasam kahyi thi kya tb tb bar bar kaffara ada krna hoga pllsss mujhe bataye me bohot pareshan hu . mujhe allah tala ke azab se bohot darr lagta hai , plese help mee pllsssss

    Like

    • Apko kaffara dena hoga. Upar ka post padhye ki kaffara kaise dete hai. Kaffara sirf ek kasam ke todne par ek bar diya jayega bar bar nahi.. jab tak ke ap firse kasam na khaye aur kasam na tode.

      Like

  7. Assalam alaikum mujhe kisine us shaks ki kasam de di jo meri zindagi me bht khas h..usne kaha ki tumhe kasam h uski jo tumhari life me sabse khas insaan h.aur zahir si baat h ki mere waldain bht khas h mere liye…aur ab wo shaks mujhse baat karne ke liye pareshan h sorry keh raha baar baar force kar raha h ki main use maaf kar du aur usse baat kar lu uska kehna h ki gusse me kaha h usne aisa…magar mujhe dar h ki meri kasam toot jayegi aur agr kasam tuti to mere khas logo ko koi problm ho sakti h isliye majburan main nahi tod sakti ye kasam…..mujhe janna h ki kya aisa hota h ki koi aapko kasam de aur aap tod de to jiski kasam di gayi h use koi nuksaan hoga…plzzz mujhe jald se jald jawab de..allah hafiz

    Like