NEK LOGO KA WASILA LAGA KAR DUA MANGNE KE AHKAAM

waseela

Islam me Ilm ka sabse bada zarya Quran hai aur uske baad sunnah hai yani RasoolAllah ki sahih hadiths. Jab Islam me kisi chiz ko fard ya sunnah ya mubah ya makrooh ya haram ka darja diya jata hai to sirf aur sirf Quran aur sunnah ki roshni me.

Jaha tak duao me waseela ka maslah hai toh ye jaan le ki Quran ya sunnah me kahi bhi nahi likha hai ki dua me Nek logo ka wasilah lagana chaiye ya Nek logo ka wasila lagane se duae jaldi qubul hoti hai. Balki Quran aur sunnat me jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne hame sikhai hai wo sab bina wasile ki dua sikhayi hai. Aur Quran me 25 ayate hai jo kahti hai ki waseela haraam hai [Dalail ke liye is article ke comments padhe.] .

Allah pak Quran me farmate hai:

Khabardaar! Allah ke liye hai khalis deen aur wo log jinhone hai uske siwa Auliyao ko  bana rakha (aur wo kahte hai) nahi ham ibadat karte unki magar taaaki wo waseela ban jaye hamko Allah ke qareeb karne ka. Beshak yeh log jiss baray mein ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah (khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon) ko Allah Taalaa raah nahi dikhata.
Quran, Surah az zumar ayat 3 .

Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko nuksan phoncha sakti hai aur na unn ko nafa phoncha sakti hai aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.
Surah Yunus ayat 18.

(kuch log kah sakte hai ham unki ibadat thodi na karte hai balki ham to sirf unse dua karta hai to unke ilm ke izafe ke liye bata du ki RasoolAllah ne farmaya hai ki DUA EK IBADAT HAIJamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul- Dua), Hadees-no:1297 )

Yeh (azab) tumhen iss liye hai ke jabb sirf akelae Allah ka zikr kiya jata to tum inkar kar jatay thay aur agar iss kay sath kissi ko shareek kiya jata tha to tum maan letay thay pus abb faisal Allah buland-o-buzurg hi ka hai.

Surah-Momin-(Fussilat) 40 ayat 12.

Ye ayat saaf taur par mushrikeen e Makkah ki halat bayan karti hai par afsos hai ki Aj ke Muslim ummah ke kuch firke bhi isi aqide ke hai jab ki unke samne Allah ka kalam padha jata hai.

Imam Abu Haneefa farmate hai:

“ Duaa,ba haq Nabi aur Wali ke Wasila se Mangna na-pasandeeda amal hai is liye kyu ki Makluq ka kuch haq Allah par nahi.
( Hidaya page No : 226).

Ab Quran ki ayato ki hi misaal lele. Surah fatiha jise ummul dua bhi kahte hai jo har namazi apne namaz me padhta hai usme kahi bhi wasile ka zikr nahi hai. Ham padhte hai har namaz me اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ jiska tarjuma hai ki (Ae Allah) hame sidhi Raah dikha agar waseela lagana zara bhi behtar ya jaiz hota to is ayat me likha hota ki (Ae Allah) hame Muhammad s.a.w. ke wasile se sidhi raah dikha. Par aisa kuch bhi nahi hai. Jab ki Is surat ko Ummul Quran kaha gaya hai matlab pure Quran ki Maa. Aur sirf yahi surat nahi jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ne sikhai hai koi bhi aisi dua nahi hai jisme RasoolAllah ya kisi nek insan ka wasila laga ho.


Kuch log surah maida ki ayat 35 pesh karte hai ki aur kahte hai ki Allah pak farmate hai ki Waseela lena chaiye,  aiye ham is ayat ki tahkeek karte hai [Is ayat ki detailed tafseer ke liye ye article padhe-https://iqrakitab.wordpress.com/2014/03/25/surah-maida-5-ayat-35-ki-tafseer/] :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابْتَغُوا إِلَيْهِ الْوَسِيلَةَ وَجَاهِدُوا فِي سَبِيلِهِ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

Is ayat ka tarjuma:

 Ae Eeman Walo! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash kero aur uss ki raah mein jihad kero takay tumhara bhala ho.

Kuch tarjuma likhne wale jinki Arabic kamzor hai unhone kuch aesa tarjuma kiya hai:

Ae Eeman walo Allah se daro aur uski taraf wasilah dhundo aur uski Raah me jihad karo is ummeed par ki falah pao.
source: http://www.ahadees.com/quran/ayat.php?surah=5&ayat=35

Ab jo Arabic word waseela hai uska matlab urdu lafz wala waseelah nahi hai, iska matlab nazdeeki hai. Zaruri nahi hai ki jo Arabic lafz hai uska matlab bhi wahi ho. Misaal ke taur par jo Quran me surah baqara hai..to Arabic me baqara lafz hai par is lafz ka matlab urdu wala baqara (goat) nahi balki Gaae(cow) hai. Isi tarha waseela ka matlab Arabic me nazdeeki hota hai.

Abu Wail Shaqeeq bin Salma (Tabiyee) is ayat ki tafseer me kahte hai,

“وَابْتَغُوا إلَـيْهِ الوَسِيـلَةَ } يقول: واطلبوا القربة إلـيه بـالعمل بـما يرضيه. “

 “(Allah ki) nazdeeki haasil karo nek amal kar ke”.

[Tafsir at-Tabri under 5:35]

Aur RasoolAllah ki hadith hame batati hai ki  kya Allah ki nazdeeki RasoolAllah ke wasile se hasil hoti hai ya fir kuch aur amal karne se:

Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se rivayat hai ki Rasoollallah (SallallahuAlaihi Wasallam) ne farmaya ki Allah Subhanahu tala farmata hai Jisney mere kisi Wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda Jin Jin Ibadaton se Mera Qurb haasil karta hai (unme se) koi Ibaadat mujhko us sey ziyaada pasand nahi hai jo mainey us par farz ki hai (jaisey Namaz ,Roza , Hajj, Zakaat..)
Aur mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karte hue mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us sey Muhabbat karney lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karney lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis sey wo sunta hai, uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath banjata hu jis sey wo pakadta hai ,uska paaw (leg) ban jata hu jis sey wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usey Mehfooz rakhta hu aur main jo kaam karna chahta hu us mein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apney momeen bandey ki Jaan nikaalney mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.

(Narrated by al-Bukhaari, 6502)

Islami shariat me hame Allah ke naam aur apne nek aamal ke zarye se  mangne ki ijazat hai aur agar koi nek insan zinda hai to usse dua karwa sakte hai  lekin nek log jo faut ho gaye ho unka waseela laga kar dua mangna galat hai. Allah pak farmate hai:

(Ae Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Jab meray banday meray baray mein aap say puche to aap keh den kay mein(apne bando se) boht hi qarib hun har pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai.

Surah Baqara ayat 186.

Prepared by:- Faisal Khan

leafy_divider-iloveimg-compressed

Related:
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR
۩ SURAH MAIDA 5 AYAT 35 KI TAFSEER

 

Posted on February 24, 2014, in Refutations (RADD) and tagged , , , , , , , . Bookmark the permalink. 15 Comments.

  1. Plz aap hume ye bataiye kya hum MOHAMMAD SALLALLAHU ALAIHIWASALLAM ke waseele se dua mang sakte hai..???

    Like

    • RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka wasila lagana Haraam hai kyuki RasoolAllah ne hame ye taaleem nahi di hai.

      Like

      • Muhammad Umar Farooq

        Assalaamu Allaikum Yaa Faisal. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka wasila lagana Haraam hai. Ye kis hadis may hai zara app hamku batayein ? May apku batata hu Zinde naik logo ka wasila na le kyuki patanahi o emaan ke halath pey mareinge ya be emaan ke halath pey

        Like

      • Dua ek ibadat hai aur har ibadat waise hi karna chaiye jaisa RasoolAllah ne sikhaya. Allah ya Rasool ne dua me wasila lagana kis ayat ya hadith me sikhaya. Ap dalail de!

        Like

  2. Habib ke sdke ka kya mtlb hai??
    Kya ye kah kr dua mangna sahi hai??

    Like

    • Habib ke sadke ka matlab RasoolAllah ke wasile se.. Sadke se dua mangna hamare nabi ki talimaat maise nai h so hame is chiz ko avoid karna chaiye kyuki ye biddat me shumaar hota hai jis chiz se hamare nabi ne hame sakht mana kiya tha..

      Like

  3. Ab tum quraan ka tarjuma karengey ” Wasiley ke maine ” to phir jo azaan ke baad ki dua ka bhi tarjuma karo kyon ke usme bhi “wasila tal fadhila ” hai.

    Like

    • Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: “jab tum mu’azzin ko suno to isii tarah kaho jis tarah wo kehta hai (matlab Azan ke jo alfaz wo kahey wahi alfaaz aap kahein) phir Mujh par Darood parho,is liye k jo Mujh par ek baar Darood parhta hai Allah us par 10 Rehmat naazil karta hai..phir Merey liye Allah sey (maqaam e) waseela maango,be’shak “Waseela” Jannat me Ek Darja (maqaam) hai jo Allah ke sirf Ek hi bandey ke laayaq hai aur Mujhe ummeed hai k wo Banda Main hun,to jisne Merey liye Waseela talab kiya uske liye (Meri) shifaa’at halaal (jayaz) ho gai”.

      (Muslim,Hadees number 384)

      Is hadith se pata chala ki waseela jannat me ek darje ka naam h naaki iska matlab Sifarish h jo ki kuch biddati log samajhte h. Allah unhe is hadith ko samajhne ki taufeek ata farmae. aameen.

      Like

  4. aati MUHAMMED inal wasilatul fadhila wa baas hu maqaam mahmooda- Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko waseela(Jannat me ek mukam) aur buzrugi ataa farma
    aur inhei’n maqaam e mehmood mein paho’ncha jiska tune inse wa’ada kiya hai.

    Like

  5. 25 aaito mai 1 batado jo ayat haram hai waseele ke Qayamat tak na batapaoge…jawab zarur dena 25 aaito mai 5 aayat bata de…paehlee to

    Like

    • Pahle decide karo 1 batana h ya 5. khair choro pure 25 batate hai:

      1. And warn by the Qur’an those who fear that they will be gathered before their Lord – for them besides Him will be no protector and no intercessor – that they might become righteous. [6:51]

      2. And fear a Day when no soul will suffice for another soul at all, nor will intercession be accepted from it, nor will compensation be taken from it, nor will they be aided. [2:48]

      3. And fear a Day when no soul will suffice for another soul at all, and no compensation will be accepted from it, nor will any intercession benefit it, nor will they be aided. [2:123]

      4. O you who have believed, spend from that which We have provided for you before there comes a Day in which there is no exchange and no friendship and no intercession. And the disbelievers – they are the wrongdoers. [2:254]

      5. Allah – there is no deity except Him, the Ever-Living, the Sustainer of [all] existence. Neither drowsiness overtakes Him nor sleep. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Who is it that can intercede with Him except by His permission? He knows what is [presently] before them and what will be after them, and they encompass not a thing of His knowledge except for what He wills. His Kursi extends over the heavens and the earth, and their preservation tires Him not. And He is the Most High, the Most Great. [2:255]

      6. And leave those who take their religion as amusement and diversion and whom the worldly life has deluded. But remind with the Qur’an, lest a soul be given up to destruction for what it earned; it will have other than Allah no protector and no intercessor… [6:70]

      7. [It will be said to them], “And you have certainly come to Us alone as We created you the first time, and you have left whatever We bestowed upon you behind you. And We do not see with you your ‘intercessors’ which you claimed that they were among you associates [of Allah ]. It has [all] been severed between you, and lost from you is what you used to claim.” [6:94]

      8. Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. There is no intercessor except after His permission. That is Allah , your Lord, so worship Him. Then will you not remember? [10:3]

      9. And they worship other than Allah that which neither harms them nor benefits them, and they say, “These are our intercessors with Allah ” Say, “Do you inform Allah of something He does not know in the heavens or on the earth?” Exalted is He and high above what they associate with Him? [10:18]

      10. Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and [that] you have not besides Allah any protector or any helper? [2:107]

      11. They are the ones whose deeds have become worthless in this world and the Hereafter, and for them there will be no helpers. [3:22]

      12. Those whom they invoke seek means of access to their Lord, [striving as to] which of them would be nearest, and they hope for His mercy and fear His punishment. Indeed, the punishment of your Lord is ever feared. [17:57]

      13. None will have [power of] intercession except he who had taken from the Most Merciful a covenant. [19:87]

      14. That Day, no intercession will benefit except [that of] one to whom the Most Merciful has given permission and has accepted his word.[20:109]

      15. So now we have no intercessors. [26:100]

      16. And intercession does not benefit with Him except for one whom He permits. [And those wait] until, when terror is removed from their hearts, they will say [to one another], “What has your Lord said?” They will say, “The truth.” And He is the Most High, the Grand. [34:23]

      17. So there will not benefit them the intercession of [any] intercessors. [74:48]

      18. Should I take other than Him [false] deities [while], if the Most Merciful intends for me some adversity, their intercession will not avail me at all, nor can they save me? [36:23]

      19. Or have they taken other than Allah as intercessors? Say, “Even though they do not possess [power over] anything, nor do they reason?” [39:43]

      20. And warn them, [O Muhammad], of the Approaching Day, when hearts are at the throats, filled [with distress]. For the wrongdoers there will be no devoted friend and no intercessor [who is] obeyed. [40:18]

      21. And how many angels there are in the heavens whose intercession will not avail at all except [only] after Allah has permitted [it] to whom He wills and approves. [53:26]

      22. And warn by the Qur’an those who fear that they will be gathered before their Lord – for them besides Him will be no protector and no intercessor – that they might become righteous. [6:51]

      23. Do they await except its result? The Day its result comes those who had ignored it before will say, “The messengers of our Lord had come with the truth, so are there [now] any intercessors to intercede for us or could we be sent back to do other than we used to do?” They will have lost themselves, and lost from them is what they used to invent. [7:53]

      24. And there will not be for them among their [alleged] partners any intercessors, and they will [then] be disbelievers in their partners. [30:13]

      25. It is Allah who created the heavens and the earth and whatever is between them in six days; then He established Himself above the Throne. You have not besides Him any protector or any intercessor; so will you not be reminded? [32:4]

      Like

  1. Pingback: WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR | Iqra'

  2. Pingback: SURAH MAIDA 5 AYAT 35 KI TAFSEER | Iqra'

  3. Pingback: WASEELE KE MAMNU AKSAAM KE DALAIL KA TAHKEEKI JAYEZA | Iqra'

  4. Pingback: NEK LOGO KA WASILA LAGA KAR DUA MANGNE KE AHKAAM | Iqra’ | kokicat