TAHAJJUD AUR WITR (PADHNE KA TAREEKA)

 

۩1  FAZILAT:

Hajrat Abu Umama r.a. riwayat karte hai ki Rasool s.a.w. ne farmaya “Tahajjud zarur padha karo, kyuyki woh tumse pahle bhale logo ki ravish hai aur tumhare liye apne Rab ki nazdiki ka zariya, gunaho ke mitane ka saadhan (aur zyada) gunaho se bachne ka sabab hai.”

Ibn Khuzaima, hadith-1135 .

۩2  NIYAT:

Rasool s.a.w. ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai”

Sahih al Bukhari, hadith-1

Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se na ke Zuban se ki jati hai.

۩3  TAHAJJUD KE LIYE NEEND SE JAGTE WAQT PADHE:

Hajrat Ayesha r.a riwayat karti hai ki RasoolAllah s.a.w.  jab raat ko(bistar se tahajjud ke liye) uthte to (yeh ) padhte:

“Allahu Akbar” das baar, “Alhamdulilah” das baar “SubhanAllahi wa behamdihi” das baar, “Subhan al malikil quddus” das baar, “Astagfirullah” das baar, “La ilaha illallahu das baar, aur fir “Allahumma auzubik min zikid dunya wa ziki yaumal qiyamati das baar”. Fir kahte “Allahum magfirli wahdini warzukni wa aafini” fir (wazu wagaira karke) tahajjud shuru karte.

Sunan Abu Daud, hadith-766 .

۩4  TAHAJJUD KI DUAE:

Hajrat Ibn Abbas riwayat karte hai ki RAsoolAllah s.a.w. jab raat ko tahajjud ke liye Khade hote to (takbeer r tahreema ke baad yeh) padhte:” Allahumma lakal-hamd. Anta qaiyimus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, Laka mulkus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, anta nurus-samawati wal-ard. Walakalhamd, anta-l-haq wa wa’duka-l-haq, wa liqa’uka Haq, wa qualuka Haq, wal-jannatu Han wan-naru Haq wannabiyuna Haq. Wa Muhammadun, sallal-lahu’alaihi wasallam, Haq, was-sa’atu Haq. Allahumma aslamtu Laka wabika amantu, wa ‘Alaika tawakkaltu, wa ilaika anabtu wa bika khasamtu, wa ilaika hakamtu faghfir li ma qaddamtu wama akh-khartu wama as-rartu wama’a lantu, anta-l-muqaddim wa anta-l-mu akh-khir, la ilaha illa anta (or la ilaha ghairuka).

Sahih al Bukhari, hadith-221 .

۩5  TAHAJJUD KI LAMBAI:

Hajrat Huzaifa r.a. ne Nabi s.a.w. ko tahajjud padhte dekha.Woh kahte hai surah Fatiha ke baad apne surah baqara padhi.Fir ruku kiya. Apka ruku apke qayam ki tarah tha(matlab kayam bhi ruku ki tarah kafi lamba tha).Fir apne ruku se sar uthaya.Apka qauma ap ke ruku ki tarah tha(matlab ruku ki tarah qauma bhi kafi lamba tha). Apka sajda apke qaume ki tarah tha(matlab kaume ki tarah apka sajda bhi kafi lamba kiya). Ap dono sajdo ke bich (jalse me) apne sajde ki tarah baithe the.(matlab sajde ki tarah jalse me bhi der lagai aur khub itminan kiya).To apne char rakato me surah Baqara, surah ale-Imran,surah Nisa aur surah Maida padhi.

Sunan Abu Daud, hadith-874.

Rasool s.a.w. ne farmaya “Jo shaks raat ke nawafil me do sao ayat tilawat kare who Ibadatguzar bando me shumaar hota hai”.

Sunan Darimi, hadith-3451 .

Rasool s.a.w. ne farmaya,”Jab tum raat ko nawafil padhna shuru karo to pahle do halki rakat ada karo”.

Sahih Muslim, hadith-768 .

Rasool s.a.w. ne raat ko qiyam kiya pahle do halki raqate padhi, fir do lambi padhi fir unse halki, do lambi rakate padhi, fir unse halki do lambi rakate fir unse halki do lambi rakate fir unse halki do lambi rakate fir ek rakat witr padha. Yeh terah rakate hui.(Apki har do rakate pahli wali do rakato se dhimi hoti thi).

Sahih Muslim, hadith-765 .

Nabi s.a.w. saari raat nawafil nahi padhte the.

Sahih Muslim, hadith-746 .

۩6  KIS TARAH KI AWAZ SE QIRAT KARE:

Nabi s.a.w. raat ke nawafil me kabhi aahista aur kabhi jahri(buland awaz se) kirat farmate the.

Sunan Nasai, hadith-1637 .

۩7  TAHAJJUD KITNI RAKAT PADHNI CHAIYE:

Hajrat Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki Rasool s.a.w. ne farmaya,”Raat ki namaz do-do rakat hai aur jab subah(sadik) hone ka dar ho to ek rakat padhlo, yeh(ek rakat, pahli saari) namaz ko taak bana degi.

Sahih al Bukhari, hadith-990,993 .

Rasool s.a.w. ki raat ki namaz ki Rakat: Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool s.a.w. (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569.

WAZAHAT: Upar ki hadith se ye waazeh hua ki tahajjud fajr se pahle chahe jitni padh sakte hai do-do rakat karke, lekin Rasool s.a.w. ka tareeka aam taur pe gyarah rakat padhna tha(3 rakat witr ko mila kar).

۩8  WITR KI RAKAT:

Rasool s.a.w. ne farmaya,”Witr har musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe.

Sunan Abu Daud,hadith-1422 .

NOTE: Rasool s.a.w. ne farmaya,”Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”. Sahih Muslim, hadith-752 .

۩9  TEEN WITRO KI KIRAT:

Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasool s.a.w. pahli rakat witr me (Sabbihis-m Rabbikal Aala) dusri me (Kul ya ayyuhul Kaafiroon) aur teesri me (Qul Huwallahu ahad) padhte the.

Baihaqi, (3/37).

Nabi s.a.w. ne farmaya,”Raat ko apni aakhri namaz witr ko banao” .

Sahih Muslim, hadith-751 .

۩10  WITR NAMAZ KI AUKAAT KI FAZILAT:

Nabi s.a.w. ne farmaya,”Jo shaks aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki namaz behtreen hai.”

Sahih Muslim, hadith-755 .

۩11  WITRO KE SALAAM KE BAAD:

Hajrat Abi bin Kaa-ab r.a. se Riwayat hai ki RasoolAllah s.a.w. witr se salaam ferkar teen baar ye padhte- “Subhan-al Malikil Quddus”.

Sunan Abu Daud, hadith-1430 .

۩12  DUA E QUNOOT KAB PADHE:

Hajrat Abi bin Kaa-ab r.a. farmate hai “RasoolAllah s.a.w. teen rakat witr padhte aur dua e qunoot ruku se pahle padhte the .

Sunan Nasai, 3/235 .

۩13  DUA E QUNOOT:

“Allaahumma ihdini feeman hadayta wa ‘aafini feeman ‘aafayta wa tawallani feeman tawallayta wa baarik li feema a’tayta, wa qini sharra ma qadayta , fa innaka taqdi wa la yuqda ‘alayk, wa innahu laa yadhillu man waalayta wa laa ya’izzu man ‘aadayta, tabaarakta Rabbana wa ta’aalayta .

[Ref : Narrated by Abu Dawood, 1213; al-Nasaa’i, 1725; classed as saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429].

 

                 

Another related Articles:

۩ WITR PADHNE KA TAFSEELI TARIKA – https://iqrakitab.blogspot.com/2017/12/witr-padhne-ka-nabawi-tarika.html
۩ WITR KE BAAD KE NAWAFIL- EK ILMI BAAT – https://iqrakitab.blogspot.com/2018/01/witr-ke-baad-ke-nawafil-ek-ilmi-baat.html

Posted on July 5, 2013, in NAMAZ E NABAWI and tagged , , , , , , , , , , , , , . Bookmark the permalink. 62 Comments.

  1. Salam mujhe puri jankari chahiye tohajjeb ki namaz ki kya aap mujhe hepl kar sakte hia khuda Hafiz ……..

    Like

  2. tahajjud ke liye kya niyat kre nafil ya sunnat

    Like

  3. Assalam alaykum
    kya agar isha ke waqt witr ki namaz padh li hn to phir kya usi raat tahajjud ki namaz padh sakte hai

    Like

  4. assalamwalekum janab mai ye janna chahta hu ki tahajjud ki namaz kitne baze se lekar kitne baze tak padhi ja sakti hai

    Like

  5. aslam wlkm…..m fst time tahajjud ki nmaj padhogi…….mjhe pls iske pdhne ka tarika smjha dijiye….kaise kaise puri nmaj pdhni h..

    Like

  6. Ruman Abdul Aleem Salafi

    Ma sha Allah bohut hi umda post…

    Jazakallahu khairan bro…

    Like

  7. mai ne pouchna hai k witr ki teesri rakat mai ager dua qanoot prna bhool jayain tu phir kaya krna hoga?

    Like

  8. assalamualaikum.bhai agar se witr namaz tahajjud ke waqt padhne ki niyat rakh kar sogaye aur fajar namaz ka waqt bhi nikal gaya to witr namaz kais padhi jaye

    Like

  9. Assalam-o-alaikum
    Kya tahajjud ki namaz ke liye isha ki namaz k baad sona wazib hai???
    Actually I am a student aur mai raat bhr jag kr pdhai krti hn.

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Tahajjud ka aaghaaz..Isha k baad se hojata hai..agar koi Isha k baad Tahajjud padhna chahe to bhi padh sakta hai ..aur do hisse raat k guzarjane k baad padhna afzal hai.. Is k liye Sona lazim nhi…

      Like

  10. Aslamualykum brother if a person can’t read Quran paak an when he wants read namaaz but can’t read proper an he is in masjid what should he do will his namaaz be accepted

    Like

  11. salam plz tell me proper tariqah of traweeh for girls in home plz tell me

    Like

  12. Assalamualaikum wr.wb
    mashaallah ..jazakallahu khairan ..
    janab mera sawal kuch yun h ke
    ek riwayt me bataya gya h ke Aap (sallallahu wa’alaihi wasallam) 13 rakat tahajjud ki padhte the ..
    to isme nafil kitni aur witr kitni
    kya 10 rakat nafil 3rakat witr ki hoti h ya ..
    12 nafil 1 witr ..?
    aur isha me witr padhi ho to bhi tahajjud ki witr padhte hai ..?

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. bhai Aisha r.a. subah ki 2 fajr jod kar is namaz ki tadad batayi thi. Toh 8 tahajjud 3 witr aur 2 sunnah of fajr.

      Narrated ‘Aisha,
      The Prophet (sallallahu alahi wa sallam) used to offer thirteen Rakat of the night prayer and that included the Witr and two Rakat (Sunna) of the Fajr prayer. [Bukari, Volume 2, Book 21, Number 241]

      Like

  13. Assalamualikum, mera swal ye hai k witar kaisay adda ki jay , agar 3 rakat parh rhay hai to ,to disri rkkat me Attahyat kalma tk parhna hai k phir sajda k bad uth jana hai ,or phir akhri rkat me attahyat parhna hai,plz zaroor jawab dijyay ga me bht confusion me ho shukrya

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Witr padhne ka 2 tareeka hai. Ek ye hai ki kisi rakat me na baithe siwae aakhri rakat me. Iska matlab dusre rakat me tashahudd ke liye bina baithe hi uth jana hai ya aesa kah sakte hai ki dusri rakat ke sajde ke baad hi uth jana hai.
      Dusra tarika ye hai ki 2 rakat padh kar salaam ferna hai aur fir ek rakat alag se padhna hai.

      Like

  14. Md Tashfeer Ahmad

    i wanna to what is d meaning of my name and how to read Namaze Tahajjud.plz help me.aap mere liye liye itna kr dijiye or Allah paak se dua kijiye ki mjhe kaamyab insan bana dein.Allah Hafiz

    Like

  15. Taklif ki namaz Kai SE pade or kitni pade or kab

    Like

  16. Tajuod ki namaz Kai SE pade or kitni pade or kab pade

    Like

  17. Faisal tu ek hadess dikha de jisme ye ho k niyat dil me karni chaiye zuban se nahi……..to mein tujhe 1000000 rupai ka inaam dunga mera whats app no lele aur hadees mil jaai to post karna +919029238768

    Like

    • Abu Huraira r.a. se riwayat hai ki RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hamesha namaz ki Shururat Takbeer (Allahu akbar) kah kar karte the.
      Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 12, Hadith 755.

      Is Hadith se pata chala ki RasoolAllah dil me niyat karte the namaz ki zuban se nahi warna wo namaz ki shuruat me Allahu akbar nahi balki Ya Allah mai niyat karta hu wagaira kahte jaise aj ke kuch log namaz ki shurat Takbeer se nahi balki Niyat ke Alfaaz se karte hai.

      Ab in paiso ko meri taraf se Gareebo me bant dena.

      Like

  18. Ass salam u alaykum bhai wtr namaz adhi raat me nafl ibadat karne ke baad padh sakte hai zara detail batayen

    Like

    • wa alaikum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. Ha aur lekin jo Isha ke sath witr padhte hai use mat padhe kyuki ek raat me 2 witr nahi hai RAsoolAllah ka farman hai.

      Like

  19. Shukriya mujhe aapke is link se bhoot help mili h fr b ek sawal h tahjud ki namaz m kounsi dua padhna chahiye kya tahajudbki namaz k baad namaze hazat padh sakte h?????

    Like

  20. Kya tahajjud ki namaz sone s pahle ni padh sakte

    Like

    • Tahajjud ka aaghaaz..Isha k baad se hojata hai..agar koi Isha k baad Tahajjud padhna chahe to bhi padh sakta hai ..aur do hisse raat k guzarjane k baad padhna afzal hai.. Is k liye Sona lazim nhi…

      Like

  21. assalmallkum rahmatul wa barkatuhu mujha jana hai ki witr aadih raat padna chaya ya esha ki namaz ka bad pada sakata hai aur witr ka bad Kui bhi nafil namaz pada sakta hai

    Allah hafiz

    Like

  22. AOA.
    Mera 2 sawal han first one
    Tahajuut namaz k lya sona zarorri ha.
    Second.
    Ap 4 rakat namaz phar rhy han ap namaz mein bhol jaty han k kon c rekat ha.(tu kia krna chya).
    Thanks

    Like

    • wa alaykum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu.. TAhajjud namaz ke liye sona shart hai ya nahi isme ulemao me ikhtilaf hai lekin sahih raaye yahi hai ki sona shart nahi hai.

      Like

  23. Dr Basharat Mushtaq

    Asslalmu Alikum
    Jinam Aap se mere doo swal hae:
    1. Kya witar ke baed hum naful pad skte hae?
    2. kya azan ke baed jo waqat hota hae nimaz tak us mae naful pad sakte hae?

    Like

  24. assalamu alaikum …. tahajjud ki namaj kam se kam kitna rakat pad sakti ha

    Like

  25. Mo.Zeeshan nasir

    asslamualekum hazrat
    tahajjud k nmaz me kitni rakat pdhskte h kmse km zada se zada

    Like

  26. Assalam walaikum. Mujhe ye puchh na hai ke witr ki namaz . kis tarha se padhna jayaz hai. 3 rakat puri hone ke bad salaam ferna .. Ya 2 rarat padh ke salaam fer ke fir 1 rakat. Kya ye sahi hai. Kyu main yaha saudi me . yamani sudani misri ye sab 2 rakat pehle fir 1 rakat bad me padhte hai. Plz mujhe iska jawab dijiye?

    Like

  1. Pingback: TAHAJJUD AUR WITR (PADHNE KA TAREEKA) | Iqra’ | kokicat