Nikah me Ladki/Ladke ki Razamanddi

Nikah-Wedding-bride

 

Nikah me Ladki/Ladke ki Razamanddi-

Nikah me ladka aur ladki dono ki razamanddi zaruri hoti hai.

Nabi(S.A.W) ka farmaan hai :

” Aurat ka nikah is ki ijazat ke bagair nahi kiya jayega “

kisi bhi aurat ko aise shakhs se shadi krne par majaboor krna jaiz nahi jis se woh shadi nahi krna chahti ho.

Nabi(S.A.W) ka farmaan hai :

” Ayem( Talaq Yafta ya bewah ) aurat wali se ziyada apne aap ki haqdaar hai, aur kanwari se is ki ijazat ke bare mein ijazat talab ki jayegi aur is ki ijazat is ki khamoshi hai “

Sahih muslim hadees number (1421 ) .

aur hadees mein Rasool Karim Allah alaihi wasallam ka farmaan hai :

” Shadi shuda aurat se mahswara ke baghair is ki shadi nahi ki jayegi , aur kanwari aurat ki shadi is ki ijazat ke baghair nahi ki jayegi”.

sahaba ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (s.a.w) : is ki ijazat kaisi hogi ?

Nabi(S.A.W) ne farmaya :

” Woh khamosh ho jaye “

Sahih Bukhari hadees number (4843 ) Sahih Muslim hadees number (1419).

is ki Daleel darj zail hadees hai :

Khansa Bint khazam ul ansariya (r.a) bayan krti hain ke :

” Un ke waalid ne un ki shadi krdi aur woh Saib ( Talaq Yafta ya bewi) thi, to is ne use napasand kiya aur Naba(S.A.W) ke paas aayi to Nabi(S.A.W) ne is ke nikah ko radd kar diya “

Sahih Bukhari hadees number (4845 ) .

aur Ibn Abbas (r.a) bayan krte hain ke :

” Ek kanwari ladki Nabi(S.A.W) ke paas aayi aur bayan krne lgi ke is ke waalid ne is ki shadi krdi hai aur woh makruh thi, to Nabi(S.A.W) ne usay inkhtiyaar de diya “.

Sunan abu Dawud hadees number (2096 ) Allamah Albani Rehma Allah ne use sahih qarar diya hai .

Oper jo kch bayan huwa hai is se maloom howa ke aurat razi nah ho to baaz ahal ilm ke haan nikah sahih nahi, aur kchh ulama kahte hain ke yeh aurat ki ijazat par moqoof hai, is bina par agar aurat khawind ke sath nahi rehna chahti ho to Qazi use Talaq de dega, aur is mein khawind ki raye ki nahi dekhega .

Jab kisi mard ka dil kisi larki se muallaq ho jis ka is ka nikah karna jaiz hai ya kisi larki ne kisi larke ko pasand karliya ho to is ka hal shadi ke ilawa kuch nhi-

kyunke Nabi sale Allah alaihi wasallam ka farmaan hai :

 Do mohabbat karne walon ke liye hum nikah ki misl kuch nahi dekhte .

Sunan Ibn maja hadees number (1847 ) Busari Rehma Allah ne usay sahih kaha hai aur allama albani Rehma Allah taala ne bhi ise silsilatul sahiha(624) mein use sahih qarar diya hai .

Mangetar ko shadi se pahle Dekhne ki Ijazat:

aur isi liye Nabi sale Allah alaihi wasallam ne ladke ko yeh ijazat di ki hai ke wo apni honay wali mangetar ko dekhe :

Mughira bin shoba razi Allah taala anho bayan karte hain kay mein ne aik aurat se mangni ki Nabi(S.A.W) farmanay lage :

Use dekhlo kyunke aisa karna tum dono ke mabain ziyada istiqraar ka baais banega.

Sunan Tirmizi hadees number (1087 ) Sunan Nisai hadees number (3235 ) Imam Tirmizi Rehma Allah taala ne usay hasan kaha hai.

Abu Huraira(r.a) bayan krte hain ke Nabi(S.A.W) ne farmaya :

” Jab tumahre paas aisay shakhs ka rishta aaye jis ka deen aur ikhlaq tumhe pasand ho to is ki shadi ( apni ladki se ) kr do, agar tum aisa nahi kroge to zameen mein wasee o Areez fasaad barpaa ho jaayegaa “.

Sunan Tirmizi hadees number (1084 ) Allamah Rehma Allah ne sahih Tirmizi me use hasan qarar diya hai .

Wali ko jaiz nahi ke woh apni Wilayat mein rehne wali aurat ko munasib rishta ane par jis par ladki bhi razi ho se shadi na krne de.

Allah SWT ka farmaan hai :

{ to tum inhen un ke khawindo se nikah krne se na roko, jab ke woh apas mein dastoor ke mutabiq razamand hon. } Surah-al-baqrah (232 ) .

Allah Subhana ka to farman hai :

{ aur apnay mein se be nikah aurton ki shadi kardo }

{ aur apne naik saleh ghulamo aur londio ki bhi shadi kardo }

jab wali apni Wilayat me mojud aurat ko munasib aur barabar ke rishta ane par is ki shadi na kre jis se woh shadi krne par razi ho to is ne use shadi krne se rok diya, is terhan is ki Wilayat muntaqil ho kr baad wale asbah mard ko haasil ho , aur phir Qazi ko .

lekin kash hum is had tak na pohnche ke jis mein larki is baat ki jurrat kare ke jab iska walid aisay shakhs se shadi na karne de jo deeni aur akhlaqi lehaaz se is ka kafu ho to woh larki qaazi se jakr shikaayet kare,aur Qazi is ke waalid se kahe ke is ki shadi is shakhs se kardo wagerna mein karta hun ya phir tere ilawa koi wali kardega .

is liye ke ladki ko haq haasil hai ke jab is ka waalid usay shadi na karne de ( to woh qaazi se shikaayet kardey ) aur yeh us ka sharai haq hai kash hum is had tak na pohnchain –

is liye larkiyon ke waliyoon chahe woh waldain hon ya bhai waghera ko chahiye ke woh Allah taala ka taqwa aur khof ikhtiyar karte hue inhen shadi karne se na rokain, un ka haq hai kay jis ka deen wa akhlaq acha ho is se shadi kar dein .

haan yeh hai ke agar larki aisa larka inkhtiyaar kare jo deeni aur akhlaqi tour par behtar nahi to phir walii ko yeh haq haasil hai kay is se shadi na karne de aur mana krde , dekhein Al mughni: ( 383 / 9) .

lekin agar larki deeni lehaaz se achay shakhs ko inkhtiyaar karti hai aur phir is ka walii sirf apne nafs ki khwahish par amal karte hue is se shadi nahi karne deta to Allah ki qasam yeh haraam hai aur phir haraam hi nahi balkay khayanat bhi hai, aisa karne se jo bhi fasaad peda ho ga woh is ka zimme daar hai aur is ka gunah bhi isi par hoga. .

is maamla ko baat cheet aur Afham o Tafheem aur naseehat ke zariye hal krna chahiye, ho skta hai ke is rishta ke inkar mein waalid haq par ho, aur yeh bhi ho skta hai galti par ho .

waalid ki ita’at wa farmabrdari aur use razi krne ki hatta ul imkan koshish krni chahiye – is ke liye aap dua se muawnat len, aur istikhara aur kasrat se aamaal Saleha krein.

Allah SWT se dua krte hain ke woh hum ko khair o bhalayi par jama rkhe aur ita’at o razamandi ke kam mein muawenat farmaye. Ameen

wallah Aalam .

Prepared By: A.Sayed

Posted on January 6, 2014, in Ladies' Wing, Nikah and tagged , , . Bookmark the permalink. 16 Comments.

  1. Pls answer…. One year back I met a girl (online) and she proposed me. I refuse her so many times because she is not beautlfull but she forced me and always keep crying for me. After 5 months I also started loving and decide marry with her.
    After 8 months we started living together in a single room, sharing everything and commit zina(more than 100 times in a month). We knew this is wrong but I thought we will marry if she get pregnent or we will handle… Now after one year somehow I came to know that she is married women(from last 1 year) and 1 year old then me and having so many boyfriends. I decided to leave her and stop living with her but try to commit sucide 2 times then I told her to do astagfar and pursue namaz and leave all bad habits. Now she takes divorce with that man and living with her mother and 5 younger sister and she is now in iddat period. She loves me a lot we love each other and I dont want to spoil her life. Can we marry with each other?

    Like

  2. I have heard that if a married women(but did not have sex with husband) commit zina with a boy before talak. She(married women) become haram for that boy(zani)

    Like

  3. Asalamualaikum
    agar lardki ka talaq hogaya usku do bache hai usse koi lardka jo bena shadi shuda ho aur umar me do saal chota ho shadi karna chata hai par lardke ke ghar wale logun ke liye dunya ku kya kya bolinge agar hamara bacha ek do bachun ki maa se shadi kara hum kis kis ku mu dikhage ye sounch kar nai hone dere ye shadi lardka aur lardki bahut manare ladki ke walid razi hai isse rishte se par lardke ke ghar wale bilkul nai manre 😥 aur marne di ki dumki dere agar tum shadi kariye tu hum marjainge hamare jeete je hum tu nai hone dinge ye rishta kehte hai:'( lardke ko kya karna chaye humae ye nikha karlena chaye bina lardke ke maa baap ke kya ye nikha hosakta unke bagher:'( kya ek do bachun maa ek bena shadi shuda aur umar me do sall ke chote lardke se shadi nai karsakti kyun log isse bahut bur baat samte hai:'( hame kya karna chaye lardke ko kya karna chaye plz ans me

    Like

    • Pehli baat ye hai k aisa nikah karna islam me jayez hai q ki aap s.a.w ne bhi apne se badi umar wali aurat se nikah kia tha
      Dusry baat aisy situation me nikah hojayega
      Q ki nikah me ladki ka wali hona wajib hai,
      Ladke ka wali hona shart nahi hai.
      Badi umar wali ladki ya fir bacho ki maa se nikah karne ko buara smjhna aisy baate sirf hamarey culture me kahi jaaty hai
      Hamare islam me aise baato ki koi ehmiyat nahi hai.
      Wallahu alam

      Like

  4. assalam o alaikum
    kya hum nikah ke liye dua kar sakte hain agarche uske ghar wale inkar kar chuke hon.

    Like

  5. plz just reply…. m or ek ladki dono ko chahte h uske ghr wale nhi chahte uska nikah mujhse ho hm dono ek dusre ko bahot chahte h m nikah krna chahta hu usse chhup kr kisi ko pta na chale kya bina gwah k nikah ho sakta h

    Like

  6. agr nikah ho sakta h to plz mujhe btaiye m nikah krna chahta hu bina gwah k or agar gwah ka hona jaruri h to ladke ki trf s gwh mil sakta h ladki ki trf s koi gwah nhi milega kyuki wo chhup kr nikah kr rhi h mujhse,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, or mene suna h kya y sahi h agr ladki n mujhe apna shohar kha h or mne use apni biwi bhi kh diya h or usne y bhi kha h ap mujhe qubul h bina gwah k kisi k samne nhi kha h na hi mene kisi k samne kha h to kya nikah ho gya hm dono ka……………..

    Like

  7. Assalamoalikum….. aap ne kaha bina wali ke nikah nahi ho sakti kya ye quran sareef se hai but maine jitne bhi mufti molvi se pucha unhone kaha jab ladka ladki balig ho to gawah rakh kar bina wali ke nikah kar sakte hai……plz aap mujhe sahi jawab de

    Like

  8. Jazak Allah

    Like