SAJDE ME DUA KARNA

Jin Waqto Me Dua Ki Qubuliyat Ka Zyada Imkaan Hota Hai Un Main Ek Waqt Namaz Ke Sajde Ka Hai :

Abu Hurairah r.a. Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya, “Bandah Apne Rabb Ke Sab Se Ziyadah Qareeb Us Haalat Mein Hota Hai Jab Woh Sajde Mein Hota Hai, Lihaaza Us Mein Kasrat Se Dua Karo.”

Sahih Muslim, Hadith- 482.

Dua Behtar Hai Ki Ap Arabic Me Kare Lekin Agar Arabic Nahi Aati To Khud Ki Zuban Me Bhi Kar Sakte Hai.

۩ Aap ﷺ Ki Sajde Ki Dua :

Abu Hurairah r.a. Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Sajde Me Ye Dua Manga Karte The, “Ae Allah Mere Saare Gunaah Muaf Karde, Chote Aur Bade, Pahle Aur Akhir Ke, Khule Hue Aur Chupe Hue.”

Sahih Muslim, Hadith- 483.

This Dua in Arabic:

‏ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي كُلَّهُ دِقَّهُ وَجِلَّهُ وَأَوَّلَهُ وَآخِرَهُ وَعَلاَنِيَتَهُ وَسِرَّهُ ‏

Posted on July 16, 2017, in Others and tagged , . Bookmark the permalink. 2 Comments.

  1. Namaz k bad mtlb salam phere bad Sajde m sir rakh k dua mangna kaisa hai..? is Hades m sirf aisa irshad formaya gaya h k ..
    .Abu Hurairah r.a. Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya, “Bandah Apne Rabb Ke Sab Se Ziyadah Qareeb Us Haalat Mein Hota Hai Jab Woh Sajde Mein Hota Hai, Lihaaza Us Mein Kasrat Se Dua Karo.”

    Sahih Muslim, Hadith- 482.
    To sirf kya iska mtlb namaz k Sajde m dua manga h ya namaz k bad bhi Sajda kr k dua Krskte hai q k is m sirf Sajde m dua magne ka likh hua h aisa Nahi irshad formaya gaya k sirf namaz k Sajde m hi krskte dua plzzzz sahi hidayat kijiy mujhe confused hu sahi h ya galat q k m ne aj to namaz k bad hi Sajde m sir rkh k duan kis hai….

    Like

    • Jab kisi hadith me kisi ek chiz ki baat ki jati hai to wo lazim hai ki wo normal chiz ki baat ho rahi hoti hai, isi liye Jab hadith me sajde ka word hai to isse murad namaz ka sajda hai jo ki ek insan normal namaz wala sajda samajhta hai agar namaz ke baad sajde ki baat ho rahi hoti to is hadith me ya kisi dusri hadith me ye alfaz mil jate.. for example: agar koi mujhse ek glass pani mangta hai to mai use ek full glass pani lakar dunga, na ki half aur na hi thoda kyuki ye assume kiya jata hai ki normal glass of water use chaiye jab tak wo khud na kahe ki use adha glass pani chaiye.

      Aur sath hi sath is hadith ka baab bhi yahi hai ki “RUKU AUR SAJDE ME KYA PADHNA HAI”

      Like

Let's Hear It!