MAUT KE BAAD FAYDA DENE WALE AAMAAL

1-flowing-water-in-rushing-river-dave-reede

Maut ke baad sirf wahih chize fayda de sakti hai jo Allah ne apne Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko bataya aur hamare Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne hame bataya. Kuch log tarah tarah ke amal jo ki aksar Hinduo se li gayi hai wo chize karte hai jaise Tija, chalsi, wagaira wagaira. Jab ki unko khud pata hota hai ki gair Muslimo ki mushahbat(copy) karna mana hai. 

۝1. RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ki jab koi insan marta hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:
1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho)
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho
3) Nek aulad jo uske liye dua kare .
(Reported by al-Tirmidhi, no 1376; he said this is a saheeh hasan hadeeth)

Sabse aham chiz jo murde ko fayda pohcha sakta hai wo ye hai ki uske Nek aulad uske liye dua kare khas taur par unki magfirat ke liye aur dusri duae bhi.

RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ”Ek shaks ke Jannat me darjat buland honge , fir wo puchega ki ye kaise hua, fir usse kaha jayega Tumhare aulad ki magfirat ki duae ke wajah se jo wo tumhare liye karta hai.
(Reported by Ibn Maajah, no 3660; see also Saheeh al-Jaami’, 1617.)

۝2.  Agar koi aulaad koi neki ka kaam karta hai to khud-bakhud us ke waledain ko uska sawab pohcha karta hai chahe us ke waledain hayat se ho ya faut ho gaye ho. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya,

“Beshak sabse Paakiza chiz jo insan khata hai wo uske hatho ki kamai hai aur us ki aulad bhi uski kamai(earning) hai.

Sunan Abu Dawud, Hadith-3528,  Sahih (Al-Albani).

۝3.  Aur Agar uska aulad us ke liye koi sadqa, khairaat ya jo bhi nek aamal karta hai to uska sawab uske waledain ko pohchta rahta hai, Lekin ek baat talib e gaur hai ki niche di hui hadith aur is ke jaisi jitni bhi ahadith hai wo sirf aulaad ka zikr karti hai is liye sirf waledain ko aulaad ke aamal kaam ayenge kisi paise diye hue molvi ya kisi rishtedar ke aamaal nahi.

Ek shaks ne RasolALlah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se kaha “ Meri walida ka inteqal ho gya hai, aur agar wo bol pati toh unhone kuch sadaqah kiya hota. Toh agar mai ne unki taraf se kuch sadaqe me de du to kya unhe sawab milega?” RasoolAllah ne farmaya “Ha”.

(Reported by al-Bukhaari, Fath, 1388).

۝4. Jo baaki dusre log (jaise dost, rishtedar ya koi aur) kar sakte hai wo hai Mayyat ke Haq me magfirat ki dua, Allah pak farmate hai,

Aur Unke Liye Bhi Jo Baad Me Aye Aur Dua Karte Hai Ki Ae Hamare Rab, Hamare Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hamse Pahle Eemaan Laye Hai Unko Muaf Farma Aur Momino Ki Taraf Se Hamare Dil Me Keena Aur Hasad Na Paida Hone De. Aye Hamare Rab Tu Boht Shafkat Karne Wala Hai, Maherbaan Hai.

Quran, Surah 59, Ayat-10.

floral-divider-min

Prepared by:- Faisal Khan.

Posted on May 31, 2015, in Others and tagged , . Bookmark the permalink. 20 Comments.

  1. Agar kisi ki oulaad na ho tou kiya us marhoom k liye us k behan bhai dua kar saktay hain?

    Like

  2. Mera ek aur sawaal hai k Surah baqrah ayat 89 mai jo hai waseelay ka zikar us se kiya mura’ad hai us ki kiya tafseer hai. Aur agar ek Insaan zinda hai tou us ka wasta de saktay hain dua k waqt?

    Like

  3. Is ki koi Hadith ya Daleel hai k Marnay walay ki oulad na ho tou us k bhai ya behan us ki maghfirat k liye dua karen?

    Like

    • Our Lord! Forgive us, and our brethren who came before us into the Faith, and leave not, in our hearts, rancour (or sense of injury) against those who have believed. Our Lord! Thou art indeed Full of Kindness, Most Merciful (Quran 59:10).

      Like

  4. Is ki koi Hadith ya Daleel hai k Marnay walay ki oulad na ho tou us k bhai ya behan ya koi aur rishtedaar us ki maghfirat k liye dua karen?

    Like

    • Our Lord! Forgive us, and our brethren who came before us into the Faith, and leave not, in our hearts, rancour (or sense of injury) against those who have believed. Our Lord! Thou art indeed Full of Kindness, Most Merciful (Quran 59:10).

      Like

  5. Dua tou har Musalmaan dusray Musalmaan k liye kar sakta hai be shak koi Shak nahi is mai. Lekin jahan tak meray ilm baat hai woh ye hain k agar kisi ki wafa’at hojati hai tou sirf 3 cheezen usay faida pohncha sakti hai jo k aap ne uper biyaan ki hui hain. Aur mere ilm mai ye baat bhi hai k Qura’an Khuani karnay ya kuch parhnay se marnay walay ko Sawaab nahi pohnchta. Aur ye baat bhi mere ilm mai hai k Sirf Naik Oulad hi dua kar sakti hai wafa’at k baad us k illawah koi nahi. Jab tak ek insaan zinda hai woh us k haq mai dua kar sakta hai lekin agar kisi insaan ki wafa’at hojati hai aur woh mera dost tha tou kiya mai us ki maghfirat k liye dua kar sakta hu? Agar kar sakta hu tou Hadith ki roshni ya kisi daleel hai?

    Like

    • Our Lord! Forgive us, and our brethren who came before us into the Faith, and leave not, in our hearts, rancour (or sense of injury) against those who have believed. Our Lord! Thou art indeed Full of Kindness, Most Merciful (Quran 59:10).

      Like

  6. kia muslim murde ko quran ki sab dy sakty hain

    Like

  7. Syed NAYEEMULLA

    Assalamualaikum…. Kya aulad bachon ke bache yani pota poti vagaira vagaira inke aamaal ka bhi sawaab wafaat pane walon ke milega??? Ya kya woh sadka wagaira jo bacho ke bacho ne kiya uska sawaab marhoom ko milega

    Like

  8. mohd hashim khan

    Assalamu alaikum ap se gujaris hae ki hamare walid aur waliden marhoom ho gae haen mae 6 sal ka tha maen unke lea kaun si dua padu maut ke bad faida dene wale please bataen , aur kiss site pe oh dua hae yeh bhi bataen

    Like

  1. Pingback: MAYYAT KI TARAF SE QURBANI KA HUKM | Iqra'

Let's Hear It!