ILM KI PAHLI MANZIL

 

Mein Jab Logon Ko Dekhta Hun, Mashriq Maghrib Main Unse Milta Hun To Mujhe Ye Mehsoos Hota Hai Ke In Ki Zyada Dilchaspi Ka Ba-is Ilmi Mabaahis (Ilmi Debates) Ban Kar Reh Gai Hain.

Ye Apni Jaga Badi Qeemti Cheez Ha Lekin Jab Hum Qayamat Mein Apne Rabb Ki Barghaah Mein Uthy Gain To Is Mein Sawalaat Is Ke Mutalliq Nahi Honge Yaani Allah Taala Ye Nahi Poochy Gain Ke Yeh Batao Tum Meraaj Ko Jismaani Maanty Thay Ya Roohani, Ye Nahi Puchenge Ke Batao Quran Majeed Ki Falaan Ayat Se Tumne Ye Matlab Nikaala Tha Ya Wo Matlab Samjha Tha.
Wahaan Jo Cheez Zair E Bahas Aany Wali Hai Deen Mein Aslan Us Par Nigaah Rahni Chahiye. Ye Sab Ilm Ko Hasil Karne Ki Chezen Hain. Is Se Insaan Taa’subaat Ko Khatam Karta Hai.isk Ilm Main Izaafa Hota Hai. Nayi Nayi Dunyaa’en Daryaaft Karta Hai. Isko Ek Qalbi Itmenaan Hasil Hota Ha.

Ye Badi Qeemti Cheez Hai. Ilm Ka Safar Koi Mamooli Safar Nahi Hai. Lekin Asal Cheez Jis Ke Uper Nigaah Rehni Chahye Wo Ye Hai K Main Apni Zaat Mein, Apni Shakshiyat Mein Pakeezgi Ka Safar Tay Kar Raha Hoon Ya Nahi. Ye Sawaal Har Waqat Saamny Rehna Chahye. Ye Mai Thodi Der Baad Bataunga Ki Pakeezgi Se Quran Kya Murad Leta Hai.

 

Kyon Ke Quran e Majeed Se Yahi Maloom Hota Hai Ke Allah Taala Ne Jis Imtehaan Mein Humko Mubtala Kiya Hai, Is Imtehaan Mein Hadaf (Aim, goal) Ki Kaifiyat Yahi Hai Ke Hum Kitna Pakeeza Ho Kar Uski Baargah Mein Jaate Hain.

Main Aage Chal Kar Wazaahat Karonga Ke Pakeezgi Ka Content Kya Hai.. Lekin Is Waqat Jis Cheez Ki Taraf Asal Mein Tawajjoh Dilaani Maqsood Hai Wo Ye Hai Ke Is Hadaf Ko Kabhi Nigaah Se Ojhal Nahi Hona Chahiye.

Ilmi Bahsen (debates) Kare, cheezon Ko Samjhay, nayi nayi Pahlu Saamne Aaye. Un Se Faida Uthaaye. In Main Se Koi Cheez Esi Nahi Ke Jisko Ghalat Kaha Ja Sake. Lekin Agar Yahi Tamaan chize Hadaf Ho Kar Reh Gai Hai To Ye Samajhle Ki Deen Mehaz Ilm Nahi Hai Wo As’lan Ek Badi Manzil Hai Jiski Taraf Hamari Reh’numaai Karne Ke Liye Nazil Kiya Gaya Hai. Aur Jesa Ke Mainy Bataya Hai Ke Wo Tazkiya (Purification of oneself) Hai Aur Ye Quran-e-Majeed Ne Bilkul Wazeh Bata Diya Ke:

“Qad Aflaha Man Tazakka”

“Jis Ne Apny Apko Pakeeza Kar Liya, wohi Falaah Payega”

Quran, 87:14.

Aur Pakeezgi Ke Liye Allah Nay Poora Amal Bhi Bata Diya Hai Ke Kya Karna Chahye. Main Is Par Bhi Guftgu Karonga Aage Chal Kar

 

Is Me Choo’ki Ilm Se Baat Shuru Hui Hai Toh Agar Ap Khalis Nasb-ul-ain (Maksad) Ke Hawaale Se Dekhain To Jo “Rawaiyya” Is Se Wajood Main Aata Hai Wo Hai Jis K Baaray Mein Hum Qayamat Mein Jawaab-deh Hongay. Yaani Nateeja (Result Of Our Research) Nahi Balki Wo Rawaiyya (Attitude) Jo Humny Ikhtyaar Kiya. Ilm Ka Tazkiya (Purification) Bhi Usi Tarah Matloob (Zarurat) Hai Jis Tarha Amal Ka Tazkiya Matloob Hai.

Lekin Ilm Ke Tazkiye Me Hadaf (Aim) Kya Hai ?

Yaani Hamara “Attitude Towards Knowledge” Kya Hai ?

Yaani Humne Ilm K Muamle Main Rawaiyya Kya Ikhtyaar Kiya Hai ?

Kya Humne Apne Apko Taa’subaat (Badgumani Ya Bina-tahkeek Ke Kisi Natije Par Pohchna) Se Pak Karne Ki Koshish Ki Hai?

Dekhain Mainy Lafz Bola Pak Karna Yahi Tazkiyaa Hai.

Kya Hum Ab Bhi Jazbaat Main Beh Jate Hein?

Kya Ab Bhi Hum Usi Jagah Par Kharay Hain Ke Pahly Agar Ek Shakhs Ki Aqeedat (Andhi-takleed ; Blind-following) Main Mubtala The Toh Ab Kisi Doosray Shakhs Ki Aqeedat Main Mubtala Hogye Hain? Misaal Ke Taur Par Kya Pahle Agar Ham Imam Abu Hanifa Ki Takleed Karte The To Kya Ab Kisi Aur Imam Ya Apne Firqe Ke Ulema Ya Kisi Muhaddis Ki Takleed Karte Hai? Kya Quran Aur Sunnat Se Agar Koi Baat Sabit Ho Jati Hai To Kya Fir Bhi Ham Ye Dekhte Hai Ki Hamare Ulema Ya Muhaddis Ki Raaye Kya H? Kya Apne Ulema Aur Muhaddis Ko Ham Quran Aur Sunnat Se Zyada Priority Dete Hai ?

 

Ye Wo Jaiza Hai Jo Hum Main Se Har Shakhs Ko Har Waqat Lete Rehna Chahye Yaani Agar Apne Koi Neyi Teh’teeq Jaan Li Yaa Koi Neyi Raaye Maloom Kar Li To Is Se Ap Faida Uthaayegn. Toh Wo Apko Itmenaan-e-qalb Degi Lekin Jis Cheez Ke Liye Ap Allah Taala Ke Huzoor Jawaab-deh Hain Wo Ye Ke Jab Ye Cheez Ap Ke Saamne Ayi Ya Is Say Mukhtalif Koi Cheez Apke Saamne Ayi To Apne Rawaiyya Kya Ikhtyaar Kiya?
Misaal Ke Taur Par, Qayamat Me Ye Sawal Nahi Hoga Ki Ap Rafa Yadain Kar Ke Namaz Padhte The Ya Bina Rafayadain Kar Ke Lekin Ye Zarur Sawaal Hoga Ki Jab Apke Pas Ye Hadith Pohch Gayi Thi Ki Rasoolallah ﷺ Hamesha Rafa Yadain Kar Ke Namaz Padhte The To Apne Is Hadith Par Amal Kyu Nahi Kiya?

To Jis Cheez Ki Islah Ilm Ki Duniya Main Bhi Paish E Nazar Rehni Chahye Wo Ye Hai Ke Har Tarah Ke Taa’subaat, Har Tarah Ke Jazbaat, Aqeedaton Sey Bala’tar (Alag) Ho Ke Cheezon Ko Samjhnae Ki Tarbi’yat Kar Lain. Yaani Is Deen Ki Raah Main Tarbi’yat Ka Pahla Mar’hala Yahi Hai Ke Hamara Hadaf Yahi Ho Ke Hum Apna Jaiza Lete Rahe

 

Har Raat Jab Hum Bistar Par Jaye To Sone Se Pahle Ek Bar Khud Se Puchen Ke Kya Waqayi Hum Taa’subaat (Bad-gumani; apne se alag raaye rakhne wale ke liye bad-gumani) Se Bala’tar Ho gaye Hain? Aur Is Main Hamesha Ye Cheez Pesh’nazar Rakhain Ke Taa’sub Ek Aisi Bimaari Hai Ke Ye Baaz auqaat Aadmi Ko Ehsaas Bhi Nahi Hota Ke Yeh Is ko Lahaq Ho Chuki Hai (Lag gai hai). Jazbaat Se Maghroob’yat (khud ko Jazbaat ke hawale kar dena) Insan Ki Aisi Kamzori Hai Ke Bade Se Bade Aadmi Ko Ye Andaza Nahi Hota Kay Wo Is Kamzori Main Mubtala Ho Chuka Hai. Toh Apna Postmortem Karte Rehna Chahye, Yaani Jaizaa Lete Rahna Chahye Ke

Kya Is Ilm K Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?

Agar Koi Hamari Maani Hui Raa’ye Se Mukhtalif Cheez Ki Taraf Humain Bulaye To Hamara Response Gair Tassubana Hota Hai?

Kya Hum Aj Bhi Poori Tawajjoh Se Uski Bat Sun’nay Ke Liye Amaa’da Hojaty Hain?

Kya Hmary Andar Ye Cheez Moujood Hai Ke Agar Hamari Ghalti Hum Par Waa’zeh Ki Jayegi Toh Hum Haq Ko Maan Lengay?

Toh Iska Jaizaa Lety Rehna Chahye. Ye Pahli Cheez Hai Jo Mein Apki Khidmat Main Arz Karna Chahta Tha .

 

Ye Pahli Cheez Hai Jo Mein Apki Khidmat Main Arz Karna Chahta Tha Ke Jab Ap Ilm Ka Safar Karein To Aam Tor Par Insan Nata’ij Fikr (conclusion of a research) Me Mubtala Hojata Hai Ke Yeh Ek Tehqeeq Ho gai, Ek Nuqta-nazar Wazeh Ho gya.

Ye Tahkeek ka Natiza Boht Badi Bat Hai. Mein Iski Nafi Nahi Kar Raha Lekin Misaal Ke Taur Par Badi Jiddo-jahad Ke Bawjood Apki Tahkeek Galat Ho Gai Toh Ye Makhzay Ka Zariya Nahi Banegi ..
Asal Cheez Ye Hai K Ghalat Nuqta e nazar Ke Maam’le Me Bhi Apka Rawaiyya Kya Raha ?

Yaani Ye Galti Kya Taassub Ke Wajah Se Hui ?
Ya Ye Galti Jazbaat Me Mubtala Hone Ke Wajah Se Hui ?
Ya Ye galti Kisi Ki Aqeedat (blind-following) Ki Wajah Se Hui ?
Ya Ye Ghalati Insaan Ki Fitri Kamzoriyan Jo Hain Uske Lehaaz Se Hui?

To Pahli Cheezen Jo Hain Wo Qabil-e-muafi nahi hai lekin aakhri chiz kabil e muafi hai.

Iska Poori Tarah Ehsaas Bhi Hona Chaiye Aur Is Par Har Lehza Sochte Bhi Rehna Chaiye.

Main Iski Zaroorat Is Zamane Mein Boht Zyada Mehsoos Karne Laga Hoon Kyon ki Maine Yeh Daikha Hai Ke Ye Chiz Hamari Ummat Me Boht Aam Hoti Ja Rahi Hain.
Ek Chiz Wo Jiski Taraf Maine Ishaara Kiya Wo Nata’ij Fikr Nikalne Me Hi Shab-o-roz Masroof Rahty Hain Aur Doosri Yeh Ke Is Say Khaas Tarah Ka Ehsaas-e-bartari (Feeling of superiority ; khud ko dusre se behtar samajhna) Inki Guftgu Main Inki Baat-chit Main, Labb-o-lehja Main Aana Shuru Hojata Hai.Yaani Inke Lehje Me Baat Cheet Me (Ilm ka) Ghamand jhalakna shuru ho jata hai.

In Dono Se Khuda Ki Panaah Maangni Chahye. Allah Taala Ko Sab Se Jo Cheez Na’pasand Hai Wo Ap Jaantay Hain Ke Wo Ghamand Hai Aur Ghamand Ya Taqabbur Ke Baare Main Farmaya Gaya Hai Ke Oont (Camel) Suyi (Needle) Ke Naakay Main Dakhil Ho Sakta Hai, Lekin koi Mutaqabbur (Ghamand karne wala shaks) Jannat Main Dakhil Nahi Ho Sakta. (For reference see, Quran, 7:40.)

Apne Andar Sacchi Aaziz (Humbleness) Paida Karna Chahiye Aur Hmesha Sacche Ilm Ka Musafir Ban Kar Rahna Chahiye

 

Is Main Khaas Taur Par Apna Tazkiya Karte Huye Ek Usooli Baat Ko Pallay Baandh Lein Aur Wo Yeh Hai Kay Kisi Dar’jay Mein Bhi Ibaadat Khuda Ke Siwa Kisi Ki Na Ho Aur Adeeqat (Blind-following) Muhammad ﷺ Ke Siwa Kisi Se Na Ho. Baaki Jo Kuch Bhi Hai Wo Zyada Sey Zyada Kya Hai? Jaisay Ap Apne Bade Ka, Mu’allim Ka Ehtraam Karte Hain.

Agar Ehtraam, Adeeqat (Blind-follwing) Me Badalna Shuru Hojaye Toh Iska Matlab Ye Hai Ke Nafs Alooda (Impure) Hona Shuru Hogaya Hai. Jahaan Se Ap Niklay The Ab Wapis Wahi Ja Rahe Hein, Jis Safar Ki Apne Shuruat Ki Thi. Ap Fir Wapis Wahi Laut Rahe Hai.

Ye Ek Bada U-turn Hoga, Jis Se Har Muslmaan Ko, Har Sacchay Ilm Ke Musafir Ko Allah Ki Panaah Maangni Chahiye.

Asal Cheez Jiska Qayamat Ke Hawaale Se Hame Apne Andar Paida Karna Hai Wo Be-taa’subi Hai. Wo Ilm Ki Sacchi Talab Hai

Wo Sahih Bat Jan’nay Kay Liye Zahni Tayaari Hai. Wo Aqeedato (Blind-following) Se Hat Kar Cheezon (Ilm) Ko Dekhna Hai.?

 

Iska Ek Laazmi Takaaza Ye Hai Ke Jahaan Kahee Bhi Ilm Payaa Jata Hai, Ap Usse Ikhtilaf Kare Lekin Kabhi Kisi Sahab-e-Ilm Ke Baare Main Be-ehtraami (Disrespect) Ka Rawaiyya Ikhtyaar Na Karen. Sab Ki Dil Se Respect Kare. Yahi Hamare Sahaba Ka Tarika Tha Ki Wo Ikhtilaf To Karte The Lekin Ekdusre Ki Izzat Karte The. Wo Ikhtilaf Me Ek Dusre Ko Gustakh E Rasool Ya Manhajless, Etc Nahi Kahte The Ekdusre Ko.

Kisi Shakhs Ke Baaray Main Raa’ye Dety Waqat Usky Mahaa’sin (Bhalaiyo) Ko Kabhi Nazar Andaaz Mat Kare.

Apne Dekha Hoga Ke Main Apny Baaz Jaleel-ul-qadr Bazurgo Se, Jin Ke Saya Me Maine Sha’oor Ki Aankh Kholi Hai, Bada Shadeed Ikhtilaaf Karta Hoon Lekin Kabhi Unki Azmat (Respect) Ke Maam’le Me Mere Yahaan Koi Bura Tas’sur Apko Nahi Milega.

Main Unki Badi Izzat Karta Hoon Aur Unke Mahaa’sim (Bhalaiyo) Par Logo Ko Hamesha Tawajjo Dilata Hu Aur Batata Hu Ke Wo Kaise Bade Log The Aur Unko Allah Taala Ne Kaisa Behtareen Akhlaaq Ata Kiya Tha.

Ilm Mein Galti Hojati Hai, Us Galti Ke Baare Me Hum Guftgu Karenge, Ihlah Bhi Karengy. Is Liye Kisi Ki Azmat Yahaan Tak Na Le Jaye Ke Hum Unki Galti Ki Ta’eed (Defence) Karne Lag Jaye Aur Galti Par Tanqeed (Criticize) Yahaan Tak Na Le Jaye Kay Hum Kisi Shakhs Ka Waajibi Ehtraam Karna Chor Dain.

Ye Cheez Agar Paida Ho Jaye To Ap Main Aur Baaqi Logon Mein Koi Farq Nahi Reh Jayega

 

Ye Jitne Is Waqt Firqe Aur Groh Bane Huye Hain Ye Asal Me Wo Cheez Hai Jiska Lehaaz Na Rakhne Se Bane Hain.

Agar In Ke Jo Rahnuma Hain, Ulema Hain Wo Har Mauqa Par Inko Ye Tawajjo Dilaate Ke Hum Muhammad Rasool Allah ﷺ Ke Pairo (Follower) Hain [naahi, Kisi Buzurg Ya Imam Ya Muhaddiseen Ke]. Koi Agar Galti Se Pak Hasti Hai To Wo Allah Ka Rasool ﷺ Hai, Baaqi Saare Ke Saare Ulema, Khawaa Wo Bade Bade Aaima Hon Wo Insaan Hain.

In Se Galti Ho Sakti Hai Aur Apne Baarae Main Bhi Ye Kehte Hain Hum Apni Tahqeeq Apko Bata Rahe Hain Aur Khud Bhi Ham Ilm Ke Safar Main Har Lehza Masroof Hain.

Koi Haqeeqat Hum Par Waa’zeh Hojaegi To Ham Apko Bata Dengay, Agar Koi Ghalti Samajh Mein Aa Jaegi To Usko Sudhar Lenge. Ap Par Agar Kisi Dusre Shaks Ki Baat Zyada Wazeh Ho Jaye Aur Agar Ap Mehsoos Kare Ke Us Main Haq Hai To Apko Usi Ki Pairwi Karni Chahiye.

Allah Taala Ne Kisi Ek Shakhs Ke Saath Apko Nahi Bandhaa Hai Aur Ye Bilkul Ek Haqeeqat Aur Ek Waqya Hai, Jo Hamare Bade Bazurg Hain, Jin Se Tareekh Roshan Hai, Unki Zindgi Aur Amal Se Maloom Ho Jata Hai Ke Un Me Se Kisi Ke Baare Me Ye Nahi Kaha Ja Sakta Hai Ke Wo 100% Darust Hai. Yaani Ba-haisiyat E Majmooi (Altogether) Hum Ahle Ilm Ki Qadar Bhi Karty Hain Aur Agar Koi Achi Bat Hoti Hai Toh Ise Apnaate Bhi Hain, Aur Agar Koi Baat Quran Aur Sunnat Ke Mutabik Na Samajh Aye To Unse Ikhtilaf Bhi Karte Hai. To Yeh Rawaiyya Hai Iske Liye Hum Jawaab-deh Hain Allah Ke Yahan. Yaani Hamara Yahi Rawaiyya Hona Chahye, Ye Siraat-e-mustaqeem (Sidha Rasta) Hai

 

Ye Siraat-e-mustqeem Hai. Is Par Hum Ko Chalna Hai Ke Ham Taa’subaat Se Bala’tar Ho Kar Zindagi Basar Kare. Toh Ilm Ke Muamle Mein Mai Ye Samjhta Hu Ke Is Ki Bar Bar Yaddihani Hamko Karani Chahiye. Ham Apni Majalis Mein, Apni Study Circle Mein, Jahaan Kahee Baithen, Logon Ko Hamesha Ye Bataye Ke Ye Ilm Ka Safar Hai, Ye Aakhri Nataij Ka Bayan Nahi Hai.
Is Mein Ye Nahi Honi Chahiye Ke Ham Par Nubuwat Khatam Ho Rahi Hai, Nubuwat Khatam Ho Gai Jis Par Honi Thi. Hum Sab Ke Sab Huzur ﷺ Ki Baat Ko Samjhne Mein Masroof Hain. Aur Aiye Ap Bhi Sath Shamil Hojaiye.

Is Main Jab Ap Dusron Ke Saath Baat Karte Hain, To Apka Dawat Ka Usloob (Tarika) Yeh Nahi Hona Chahye Ke Ab Ye Haq Ham Par Nazil Ho Gaya Hai Aur Hum Iski Khabar Dene Ke Liye Aaye Hain. Nahi ! Yeh Hona Chahiye Ke Jaisa Ek Saccha Talib-ilm Karta Hai Ke Bhai Baat Ye Hai Ke Mai Bhi Tumhari Tarah Ilm Ka Musafir Hoon, Mere Ilm Main Ek Nayi Baat Ayi Hai, Yeh Mujhe Appeal Karti Hai. Tum Bhi Is Par Gaur Kar Lo.

Aaiye Mil Kar Is Par Gaur Kar Lete Hain. Mil Kar Iska Mutala Kar Lete Hain, Mil Kar Isko Dekh Lete Hain Toh Ye Jo Attitude Aur Rawaiyya Hai Yeh Ilm Ke Tazqiye (Purification) Ki Pahli Manzil Hai Iska Hamesha Khayal Rakhna Chahiye.

From a series that was started on Iqra’ Whats App broadcast Service: 009779868125570 .

Wama Alaina Illal Balagul Mubeen – Aur Mera Kaam To Nahi Hai Lekin Sirf Pohcha Dena.

Posted on December 14, 2017, in Ilm and tagged . Bookmark the permalink. Leave a comment.

Let's Hear It!